meraa bachcha
raat merā bachcha chale aayā thā
vahī jo abhī nā-maulūd hai
mere paas aa kar merī āñkheñ taktā rahā
aur pūchh baiThā us kā baap kahāñ hai
mere beTe us kī āñkheñ bilkul tere jaisī thiiñ
us ke abrū kī lakīr hū-ba-hū tere aur mere jaisī hī thī
lekin vo baar baar vahī ek savāl kartā rahā
merā baap kahāñ hai
mere beTe tere baap ko pahāḌoñ kī āñdhī le uḌī
mere beTe tujhe vo chhoḌ kar chalā gayā
terā baap kisī nā-mā'lūm des meñ hai
kisī se koī ġhalatī sarzad huī
mere nanhe laal ab tū kabhī paidā na hogā
merā baap kahāñ hai vo pūchhtā rahā
jo na kabhī jaan sakā jaan kyā hotī hai
merā beTā kahāñ gayā maiñ ne istifsār kiyā
jo kabhī zamīn par aayā hī nahīñ
maiñ kahāñ huuñ baap ne savāl kiyā
jo kohsāroñ ke pīchhe kahīñ kho gayā
raat mera bachcha chale aaya tha
wahi jo abhi na-maulud hai
mere pas aa kar meri aankhen takta raha
aur puchh baiTha us ka bap kahan hai
mere beTe us ki aankhen bilkul tere jaisi thin
us ke abru ki lakir hu-ba-hu tere aur mere jaisi hi thi
lekin wo bar bar wahi ek sawal karta raha
mera bap kahan hai
mere beTe tere bap ko pahaDon ki aandhi le uDi
mere beTe tujhe wo chhoD kar chala gaya
tera bap kisi na-ma'lum des mein hai
kisi se koi ghalati sarzad hui
mere nanhe lal ab tu kabhi paida na hoga
mera bap kahan hai wo puchhta raha
jo na kabhi jaan saka jaan kya hoti hai
mera beTa kahan gaya main ne istifsar kiya
jo kabhi zamin par aaya hi nahin
main kahan hun bap ne sawal kiya
jo kohsaron ke pichhe kahin kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.