ġham-ālūda rūhoñ ko dhone kī ḳhātir
piyā-pe piye ham ne sāġhar pe sāġhar
'ajab thī shab-e-bāda-noshī 'ajab thī
fazā par hukūmat faqat chāñd kī thī
dil apnā na chāhā ki ham ghar ko lauTeñ
na ye aarzū thī ki bistar meñ pahuñcheñ
magar āḳhir-e-kār nashshe kā ġhalba
baḌhā is qadar hosh ham ko nahīñ thā
vahīñ ḳhaak kā ham ne bistar banāyā
thā sar par faqat āsmānoñ kā saaya
gham-aluda ruhon ko dhone ki KHatir
piya-pe piye hum ne saghar pe saghar
'ajab thi shab-e-baada-noshi 'ajab thi
faza par hukumat faqat chand ki thi
dil apna na chaha ki hum ghar ko lauTen
na ye aarzu thi ki bistar mein pahunchen
magar aaKHir-e-kar nashshe ka ghalba
baDha is qadar hosh hum ko nahin tha
wahin KHak ka hum ne bistar banaya
tha sar par faqat aasmanon ka saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.