javaab
jab shaah-raaho.n par sailaab saa aa jaataa hai
aur yake-baa'd-diigre qadro.n ke mandir Dhahe lagte hai.n
zard sahaafat vaale taaqat-var sarmaaya-daar sahaafii
har nukka.D par kha.De ho kar bechne lagte hai.n
masaale-daar chaTpaTii KHabare.n
aur har chanda gaalii kii qiimat vasuul karte hai.n
subaa.ii firqa-vaariyat kii aag phailaate hai.n
apnii bii.Diyaa.n aasaanii se sulgaane kii KHaatir
jab mash.huur GunDe caro.n me.n ghuumte phirte hai.n
aur daanish-var badan churaa.e jaise taise, raaste par paidal chalte hai.n
jab sarkaarii daftaro.n me.n KHuun chuusne vaale khaTmalo.n kii ta.adaad
kursiyo.n ke tufail insaano.n se ziyaada ho jaatii hai
jab zaat paat kii nii.nv par eqtidaar kii imaarat khu.D karne vaalaa
chhat par kha.De ho kar qaumii yak-jihatii par bhaashan detaa hai
tum puuchhte ho kis liye mai.n mere alfaaz
yuu.n 'adaavat se kumhlaa.e hu.e
kis liye hai.n yuu.n mudda.ii bane hu.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.