kaaGaz
mere paas tiin hazaar paa.nch sau chhe rupa.e hai.n
in me.n se gyaarah sau ke
ek sau ek biis ke
das das ke das
baqiyaa paa.nch ke
in me.n sirf ek rupa.e kaa kaaGaz hai
jis par KHuubsuurat niilaa naqsh hai
kisii ke dastaKHat hai.n
daahinii taraf safed chaa.ndii ke rupa.e kii tasviir
baa.ii.n taraf safeda jalii jagah hai
niiche aaTh hindiso.n vaalaa number
uupar mere desh kaa naam bhii hai
piichhe darmiyaan me.n terah rasm-ul-KHat hai.n
jis me.n tum bhii pa.Dh sakoge
aise do lafz hai.n
ek roTii milegii kyaa
mere paas tiin hazaar paa.nch sau chhe rupa.e hai.n
in me.n se gyaarah sau ke
ek sau ek biis ke
das das ke das
baqiyaa paa.nch ke
in me.n sirf ek rupa.e kaa kaaGaz hai
jis par KHuubsuurat niilaa naqsh hai
kisii ke dastaKHat hai.n
daahinii taraf safed chaa.ndii ke rupa.e kii tasviir
baa.ii.n taraf safeda jalii jagah hai
niiche aaTh hindiso.n vaalaa number
uupar mere desh kaa naam bhii hai
piichhe darmiyaan me.n terah rasm-ul-KHat hai.n
jis me.n tum bhii pa.Dh sakoge
aise do lafz hai.n
ek roTii milegii kyaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.