Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ka.ii savaalo.n ke javaab

William Blake

ka.ii savaalo.n ke javaab

William Blake

MORE BYWilliam Blake

    kyaa shai hai vo mard jis ke taalib hai.n

    'aurato.n me.n

    KHvaahish-e-aasuuda ke KHaal-o-KHad

    kyaa shai hai vo aurte.n jis kaa mutaalba kartii hai.n

    mardo.n se

    KHvaahish-e-aasuuda ke KHaal-o-KHad

    nigaah-e-ulfat

    mutavahhish kartii hai ki vo

    aatish-e-aaganda hai

    lekin mulaa.im fareb kii aa.nkh

    chaahat ko Gulaam kar letii hai

    mulaa.im fareb aur sust buniyaadii

    'ishq ke sabse pyaare bhes sabse dilkash andaaz

    ko ko.ii KHud ko

    bas ek shaadmaanii kaa paaband kar le

    vo baal-o-par-e-hayaat ko taaraaj-e-talaf kartaa hai

    aur vo jo lazzat parraa.n aalam-e-baal-afshaanii me.n

    chuum kar chho.D de us kaa baseraa

    tuluu'-e-aaftaab-e-azal me.n hai

    kyaa shai hai vo mard jis ke taalib hai.n

    'aurato.n me.n

    KHvaahish-e-aasuuda ke KHaal-o-KHad

    kyaa shai hai vo aurte.n jis kaa mutaalba kartii hai.n

    mardo.n se

    KHvaahish-e-aasuuda ke KHaal-o-KHad

    nigaah-e-ulfat

    mutavahhish kartii hai ki vo

    aatish-e-aaganda hai

    lekin mulaa.im fareb kii aa.nkh

    chaahat ko Gulaam kar letii hai

    mulaa.im fareb aur sust buniyaadii

    'ishq ke sabse pyaare bhes sabse dilkash andaaz

    ko ko.ii KHud ko

    bas ek shaadmaanii kaa paaband kar le

    vo baal-o-par-e-hayaat ko taaraaj-e-talaf kartaa hai

    aur vo jo lazzat parraa.n aalam-e-baal-afshaanii me.n

    chuum kar chho.D de us kaa baseraa

    tuluu'-e-aaftaab-e-azal me.n hai

    Source :
    • Book : Word File by Mumtaz Iqbal
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now