keet
iishvar ek
zabardast keeT hai
mere dil kii KHushiyaa.n khaa Daalne vaalaa
mai.n jab KHushii se zaraa ha.nstaa huu.n
to vo merii peshaanii par uchhaltaa hai
us ke siyaah chamkiile peT ke niiche
merii aa.nkhe.n bilkul Dhak jaatii hai.n
mai.n dono.n haatho.n se noch kar
nikaal phe.nkne kii koshish kartaa huu.n
lekin us ke nokiile tez naaKHun
dimaaG tak pahu.nche hu.e hote hai.n
jaise mai.n iishvar keeT kaa dhaan hii huu.n
vo aa.e
ham kahe.n khaa.iye

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.