mai.n ne ek chor se kahaa
mai.n ne ek chor se kahaa
mujhe ek shaftaaluu to.D de
us ne gol gol diide ghumaa.e aur chup rahaa
mai.n ne ek dublii-patlii kaaminii begam se kahaa
aa.o mere bistar me.n aa.o
haliim aur paakiiza vo aa.nkh me.n aa.nsuu bhar laa.ii
mere jaate hii ek farishta aayaa
chor par vo chashmak-zan hu.aa aur begam
se us ne tabassum kiyaa
aur phir kisii ke ek lafz bhii bole baGair
pe.D se us ne shaftaaluu liyaa
aur doshiiza sii chup chaap
us ne begam ke maze luuTe

- Book : Word File by Mumtaz Iqbal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.