Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na.ii baarish

Rabindranath Tagore

na.ii baarish

Rabindranath Tagore

MORE BYRabindranath Tagore

    dil meraa naachtaa hai aaj mor kii tarah naachtaa hai

    dil meraa naach rahaa hai

    sai.nka.Do.n rang ke jazbaat kii saa.nse.n

    mor pankh kii tarah phailii hu.ii hai.n

    bechain dil aasmaan kii taraf dekhtaa umango.n ke saath na jaane kis se kuchh maa.ng rahaa hai

    gambhiir aavaaz se baadal uma.D ghuma.D kar garaj rahe hai.n aakaash me.n

    garaj rahe hai.n aakaash me.n

    dau.Dtii chalii aatii hai baadalo.n kii dhaaraa

    na.e dhaan ke paude sab ke sab jhuum rahe hai.n

    gho.nsle me.n kaa.np rahaa hai byaakul kabuutar me.nDak zor se Tar-Tar kar rahaa hai

    merii aa.nkho.n me.n paanii bhar de baadalo.n kaa niilaa anjan rach rahaa hai

    na.e sabza-zaar me.n ghane ban kii chhaa.nv me.n

    mai.n ne apnaa dil bujhaa diyaa hai

    phale phuule kadamb ke kunj me.n aaj khilaa hu.aa dil jaagaa hai

    aa.nkho.n me.n sajal baadalo.n kaa niilaa aur chiknaa anjan rach gayaa hai

    are aaj mahal kii bulandii par kis ne zulfe.n bikhraa dii hai.n

    kis ne juu.Daa khol diyaa hai

    aur baadalo.n ke niile aa.nchal ko

    kis ne chhaatii par sarkaa liyaa hai

    chamaktii bijlii kii chanchal raushnii me.n are kaun kheltii phir rahii hai

    are mahal kii bulandii par kis ne zulfe.n bikhraa dii hai.n

    saahil dariyaa kyaa ghaas par kaun baiThii hai saaf kap.De pahne

    hare kap.De pahne hu.e

    duur aakaash me.n kis ko dekhtii hai vo

    ghaaT chho.D gha.Daa gha.Daa bahtaa bahtaa rahaa hai

    maaltii kii na.ii bel kii narm pattiyo.n ko vo laa-parvaahii se daa.nto.n se kaaTtii hai

    saahil dariyaa kii ghaas par are ye kaun baiThii hai saaf kap.De pahne

    sunsaan jagah me.n bakul ke pe.D kii Daalo.n me.n jhuulaa Daale kaun jhuul rahaa hai baraabar

    jhuul rahaa hai

    Daal Daal ke jha.D rahe hai.n bakul ke phuul

    aa.nchal aakaash me.n chanchal ho rahaa hai

    baal u.D u.D kar palko.n ko Dhak rahe hai.n juu.Daa Dhiilaa ho kar khul rahaa hai

    khilii ketkii se bhare saahil kii zamiin se kis ne baa.ndhii hai apnii naav

    na.ii naav

    Dher ke Dher sivaa uThaa kar

    apne aa.nchal ko bhar liyaa hai

    dil churaa lene vaale baadalo.n kii raagnii gaa rahii hai sajal nain liye

    khilii hu.ii ketkii se bhare hu.e saahil kii zamiin se baa.ndhii hai na.ii naav

    meraa dil naachtaa hai aaj mor kii tarah naachtaa hai

    meraa dil naachtaa hai

    girtii hai.n muuslaa-dhaar baarish kii buu.nde.n na.ii pattiyo.n par

    kaa.np rahaa hai jangal jhii.nguro.n kii jhankaar se

    kinaaro.n ko Dhaa.nk kar madhur sa.ngiit liye nadii ba.Dh aa.ii gaa.nv ke paas tak

    dil meraa naach rahaa hai aaj mor kii tarah naach rahaa hai

    dil naach rahaa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now