yuu.n barg-e-gul pe sumbul-e-mushkii.n naqaab kar

yuu.n barg-e-gul pe sumbul-e-mushkii.n naqaab kar
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
yuuñ barg-e-gul pe sumbul-e-mushkīñ naqāb kar
zulfoñ se ruḳh chhupā de jahāñ ko ḳharāb kar
mānind-e-'umr mausam-e-gul bhī guzar na jaa.e
āġhāz-e-daur-e-jām ai saaqī shitāb kar
khol is adā se nargisī āñkheñ vo madh-bharī
nargis ko josh-e-rashk se majbūr-e-ḳhvāb kar
le le mahak banafsha kī aur zulf-e-yār chhū
laala kā rang dekh ke 'azm-e-sharāb kar
‘āshiq-kushī tere liye 'ādat hai rasm hai
pī dushmanoñ ke saath meñ ham par 'itāb kar
misl-e-habāb pesh-e-qadah aañkh khol le
is ghar ko phir qayās misāl-e-habāb kar
'hāfiz' du’ā-e-vasl kā tālib hai ai ḳhudā
is ḳhasta-dil kī ab to du'ā mustajāb kar
yun barg-e-gul pe sumbul-e-mushkin naqab kar
zulfon se ruKH chhupa de jahan ko KHarab kar
manind-e-'umr mausam-e-gul bhi guzar na jae
aaghaz-e-daur-e-jam ai saqi shitab kar
khol is ada se nargisi aankhen wo madh-bhari
nargis ko josh-e-rashk se majbur-e-KHwab kar
le le mahak banafsha ki aur zulf-e-yar chhu
lala ka rang dekh ke 'azm-e-sharab kar
‘ashiq-kushi tere liye 'adat hai rasm hai
pi dushmanon ke sath mein hum par 'itab kar
misl-e-habab pesh-e-qadah aankh khol le
is ghar ko phir qayas misal-e-habab kar
'hafiz' du’a-e-wasl ka talib hai ai KHuda
is KHasta-dil ki ab to du'a mustajab kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.