ai mere aabaa-o-ajdaad
ai mere aabā ajdād
mar mar kar jiine vaalo
kyā zarūrī hai bhalā
hameñ is chhalnī meñ chhānñā
ki hamārī hañsī chhan kar dozaḳh kī aag meñ gir jā.egī
aur uupar kuchh aañsū rah jā.eñge
ai beTo naujavāno
tapte khapte
zarūrī hai daraḳhtoñ kā is darvāze se guzarnā
jahāñ se guzarte hue
vo peḌ na raheñ
aur ban jaa.eñ tābūt mez aur kursiyāñ
ban jaa.eñ darvāze
ai mere ābā-o-ajdād
mar mar kar jiine vaalo
kyā zarūrī hai bhalā
tumhārā mar mar kar jiinā
diloñ meñ bas kar hamārā surḳh lahū piinā
beTo naujavāno
tapte khapte
ham to muddatoñ barsoñ se mar chuke haiñ
ham to apnī chitāoñ meñ jalne se pahle hī
sard ho ga.e
ham zinda nahīñ haiñ
ye to tumhāre zehnoñ meñ hamārī koī yaad hai
ham nahīñ bolte
aise hī koī yaad kī tarang se
lahu meñ tumhāre shūktī phirtī hai
ai mere aaba ajdad
mar mar kar jine walo
kya zaruri hai bhala
hamein is chhalni mein chhanna
ki hamari hansi chhan kar dozaKH ki aag mein gir jaegi
aur upar kuchh aansu rah jaenge
ai beTo naujawano
tapte khapte
zaruri hai daraKHton ka is darwaze se guzarna
jahan se guzarte hue
wo peD na rahen
aur ban jaen tabut mez aur kursiyan
ban jaen darwaze
ai mere aaba-o-ajdad
mar mar kar jine walo
kya zaruri hai bhala
tumhaara mar mar kar jina
dilon mein bas kar hamara surKH lahu pina
beTo naujawano
tapte khapte
hum to muddaton barson se mar chuke hain
hum to apni chitaon mein jalne se pahle hi
sard ho gae
hum zinda nahin hain
ye to tumhaare zehnon mein hamari koi yaad hai
hum nahin bolte
aise hi koi yaad ki tarang se
lahu mein tumhaare shukti phirti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.