qatra qatra gir rahii hai chaa.ndnii
chamak rahe hai.n jugnuu
ko.ii shai aisii nahii.n jo kisii kii aa.nkh kii nii.nd
aan bhar ke liye to.D de lekin
merii aa.nsuu bharii aa.nkho.n kii nii.nd
Tuut chukii hai in nii.nd ke maato.n ke Gam me.n
sahar mere saath pareshaan-haal Thahar ga.ii hai
sub.h chaahtii hai ki mai.n us ke mubaarak dam se
in jaan haare logo.n ko bashaarat duu.n
lekin is safar ke KHayaal hii se
mere jigar me.n kaa.nTaa saa aTak gayaa hai
gulaab kii is naazo.n palii ko.npal kaa badan
jaise mai.n ne apne dil-o-jaa.n se boyaa thaa
aur jaise mai.n ne apne dil-o-jaa.n se paalaa posaa thaa
afsos aaj vahii mere pahluu me.n Tuut rahaa hai
mai.n diivaaro.n par apne haath pher rahaa huu.n
taaki ko.ii darvaaza khol sakuu.n
mai.n bekaar kha.Daa taktaa huu.n
ki shaayad ko.ii darvaaze par aa jaa.e
lekin in ke uj.De dar-o-diivaar
mere sar par girne lage hai.n
qatra qatra gir rahii hai chaa.ndnii
chamak rahe hai.n jugnuu
ek thakaa haaraa tanhaa shaKHs kahii.n duur nagar se aayaa hai
us ke paa.nv me.n chhaale pa.De hu.e hai.n
vo ek dehaatii ghar ke darvaaze par ruk gayaa hai
us ke sar par gaThrii hai
us kaa haath darvaaze par hai
aur vo apne aap se kahtaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.