sar-phire log
ho saktā hai ham sar-phire logoñ kā ek giroh hoñ
lekin ham shā'iroñ ke badan hī lohār kā vo lohā haiñ
jis par paḌne vaalī zarboñ se
ek na.ī aur taaza manzil-e-avām sūrat-pazīr hogī
ham apnī jaan de kar ek na.ī aur sachchī manzil hāsil kareñge
aur na sirf ajnabī hākimiyyat kī zanjīreñ
apne vujūd kā balīdān de kar toḌeñge balki apnī zaḳhmī aur darīda
uñgliyoñ se raushnī aur insānī huqūq ke liye āḳhir dam tak jidd-o-jahd karte raheñge
ḳhudā mujhe sachchā.ī par chalne ke liye tāqat jur.at aur himmat de
bahāduroñ kī rūhoñ
jo 'ilm sachchā.ī aur āzādī kī ḳhātir jaan se guzre haiñ
aur ġhulām aabā kī rūhoñ
jo āzādī kī talḳh aur girāñ qīmat se āgāh the
mujhe hausla aur quvvat do
mujhe bhī pake hue aur zaḳhmī phal kī tarah banā do
ho sakta hai hum sar-phire logon ka ek giroh hon
lekin hum sha'iron ke badan hi lohaar ka wo loha hain
jis par paDne wali zarbon se
ek nai aur taza manzil-e-awam surat-pazir hogi
hum apni jaan de kar ek nai aur sachchi manzil hasil karenge
aur na sirf ajnabi hakimiyyat ki zanjiren
apne wujud ka balidan de kar toDenge balki apni zaKHmi aur darida
ungliyon se raushni aur insani huquq ke liye aaKHir dam tak jidd-o-jahd karte rahenge
KHuda mujhe sachchai par chalne ke liye taqat jurat aur himmat de
bahaduron ki ruhon
jo 'ilm sachchai aur aazadi ki KHatir jaan se guzre hain
aur ghulam aaba ki ruhon
jo aazadi ki talKH aur giran qimat se aagah the
mujhe hausla aur quwwat do
mujhe bhi pake hue aur zaKHmi phal ki tarah bana do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.