us kii KHvaahish
din bhar ke kaamo.n se faariG hone ke baad jab tum thak jaa.o
to apne shauhar ke pahluu me.n laTe saktii ho
...agar us ne KHvaahish zaahir kii
to tum be-zaarii kaa iz.haar mat karnaa
kyuu.nki vo to tumhaarii thakan duur karnaa chaahtaa hai
raat me.n achaanak jab chhuTkii uTh jaa.e
to apne KHvaabo.n ko taaq par rakh kar uTh baiTho
aur apne kap.De pahan kar use thapaktii raho
taa aa.n-ki vo so na jaa.e
agar vo mutavaatir bisuurtii rahii
to use baahar le jaa.o man-bahlaavan ko
varna tumhaare shauhar kii nii.nd uchaT jaa.egii
ki duusre din use kaam par bhii jaanaa hai
tumhaarii ba.Dii ke roz-marra school home-work
khaanaa-piinaa aur jhag.Daa suljhaane ke baad
vaqt nikaal kar us kii taqriir bhii tayyaar kar do
'merii maa.n'
kyuu.nki vo kal stage par
tumhaarii azmat ke gun gaanaa chaahtii hai
kitnii haqiiqat par mabnii hai hamaare hindostaanii ma.aashre me.n ek aam aurat kii tasviir!

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.