vo shaKHs
us ne ek din mujhe apne saath khaanaa khilaayaa
soup aur khaane ke baad us ne do gilaas uThaa.e
ek me.n sharaab u.nDelii
duusre me.n talKH ja.Dii-buuTiyo.n kaa sharbat
mujhe ko.ii ishaara kiye baGair us ne apnaa talKH jaam uThaa liyaa
aur ba-aasaanii ek saa.ns me.n
apnii KHuuraak pii gayaa
aur kahaa ki duusraa jaam meraa thaa
mai.n ne jab puuchhaa ye kyaa mazaaq hai
vo sirf merii taraf dekhtaa rahaa
aur muskuraataa rahaa
aur kahaa ki yahii us kaa tariiqa hai
aur agarche mai.n us shaKHs se KHuub vaaqif huu.n
mai.n ne ek 'umr ga.nvaa dii hai
yahii sochte hu.e ki mai.n us kii tarah
KHush kab rah sakuu.ngaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.