Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamiin tang ho rahii hai

Mahmoud Darwish

zamiin tang ho rahii hai

Mahmoud Darwish

MORE BYMahmoud Darwish

    zamiin tang ho rahii hai

    hame.n aaKHirii raaste par dhakel rahii hai

    is me.n se guzarne ke liye ham apnaa ek ek uzv alag kar rahe hai.n

    zamiin hame.n jaka.D rahii hai

    kaash ham gandum hote is zamiin par marte aur jii uThte

    sochtaa huu.n

    kaash zamiin hamaarii maa.n hotii

    ham par rahm khaa saktii

    ham jaate aur KHvaabo.n ke saath pattharo.n par naqsh ho jaate

    aa.ino.n kii tarah un ke chehro.n ko dekhte

    jinhe.n hamaare baa'd is zamiin ke liye jaan denii hai

    ham un ke bachcho.n kii 'iid par rote hai.n

    ham un ke chehre dekh rahe hai.n

    jo hamaare bachcho.n ko khi.Dkiyo.n se baahar phe.nke.nge aaKHirii KHalaa me.n

    hamaaraa sitaaraa aa.ino.n ko aavezaa.n karegaa

    kahaa.n jaa.e.nge ham vahaa.n se

    jahaa.n sarhade.n KHatm ho jaa.e.ngii

    kahaa.n parvaaz kare.nge parinde aaKHirii aasmaan ke baa'd

    kahaa.n so.e.nge aaKHirii aaKHirii havaa me.n saa.ns lene ke baa'd

    ham apne naam qurmuzii dhund se likhe.nge

    ham apnii nazmo.n ke haath kaaT de.nge

    taaki un kaa iKHtitaam hamaarii jild par ho

    yahii.n mare.nge ham

    isii aaKHirii raaste me.n

    aur yahii.n hamaare KHuun me.n numuu paa.e.nge zaituun ke daraKHt

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now