Naseer Turabi
Ghazal 17
Sher-o-Shayari 20
adāvateñ thīñ, taġhāful thaa, ranjisheñ thiiñ bahut
bichhaḌne vaale meñ sab kuchh thaa, bevafā.ī na thī
adawaten thin, taghaful tha, ranjishen thin bahut
bichhaDne wale mein sab kuchh tha, bewafai na thi
-
Share this
- See Ghazal
is kaḌī dhuup meñ saaya kar ke
tū kahāñ hai mujhe tanhā kar ke
is kaDi dhup mein saya kar ke
tu kahan hai mujhe tanha kar ke
-
Share this
- See Ghazal
Salam 1
Image Shayari 4
kuchh roz nasiir aa.o chalo ghar me.n rahaa jaa.e logo.n ko ye shikva hai ki ghar par nahii.n miltaa
dard kii dhuup se chehre ko nikhar jaanaa thaa aa.ina dekhne vaale tujhe mar jaanaa thaa raah me.n aise nuquush-e-kaf-e-paa bhii aa.e mai.n ne daanista jinhe.n gard-e-safar jaanaa thaa vahm-o-idraak ke har mo.D pe sochaa mai.n ne tuu kahaa.n hai mire hamraah agar jaanaa thaa aagahii zaKHm-e-nazaara na banii thii jab tak mai.n ne har shaKHs ko mahbuub-e-nazar jaanaa thaa qurbate.n ret kii diivaar hai.n gir saktii hai.n mujh ko KHud apne hii saa.e me.n Thahar jaanaa thaa tuu ki vo tez havaa jis kii tamannaa be-suud mai.n ki vo KHaak jise KHud hii bikhar jaanaa thaa aa.nkh viiraan sahii phir bhii a.ndhero.n ko 'nasiir' raushnii ban ke mire dil me.n utar jaanaa thaa