aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1980 | Aligarh, India
Prominent upcoming poet
aa.ine meñ kahīñ gum ho ga.ī sūrat merī
mujh se miltī hī nahīñ shakl-o-shabāhat merī
aaine mein kahin gum ho gai surat meri
mujh se milti hi nahin shakl-o-shabahat meri
raunaq-e-bazm nahīñ thā koī tujh se pahle
raunaq-e-bazm tire ba.ad nahīñ hai koī
raunaq-e-bazm nahin tha koi tujh se pahle
raunaq-e-bazm tere baad nahin hai koi
us se kah do ki mujhe us se nahīñ milnā hai
vo hai masrūf to be-kār nahīñ huuñ maiñ bhī
us se kah do ki mujhe us se nahin milna hai
wo hai masruf to be-kar nahin hun main bhi
dil jo TuuTā hai to phir yaad nahīñ hai koī
is ḳharābe meñ ab ābād nahīñ hai koī
dil jo TuTa hai to phir yaad nahin hai koi
is KHarabe mein ab aabaad nahin hai koi
usī ke ḳhvāb the saare usī ko sauñp diye
so vo bhī jiit gayā aur maiñ bhī haarā nahīñ
usi ke KHwab the sare usi ko saunp diye
so wo bhi jit gaya aur main bhi haara nahin
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books