Abdul Mannan Samadi
Ghazal 18
Nazm 9
Sher-o-Shayari 7
parinde sab nahīñ zindān meñ maare ga.e haiñ
qafas meñ kuchh to kuchh naql-e-makānī meñ mare haiñ
parinde sab nahin zindan mein mare gae hain
qafas mein kuchh to kuchh naql-e-makani mein mare hain
-
Share this
- See Ghazal
badan par is-qadar bārish mire hotī hai bosoñ kī
ki jab bāñheñ tirī mujh par khulī hoñ Dāliyāñ ban kar
badan par is-qadar barish mere hoti hai boson ki
ki jab banhen teri mujh par khuli hon Daliyan ban kar
-
Share this
- See Ghazal
tasavvur kī hadoñ se duur jā kar kaise dekheñge
agar tum se ta'alluq ġhā.ebāna bhī nahīñ hogā
tasawwur ki hadon se dur ja kar kaise dekhenge
agar tum se ta'alluq ghaebana bhi nahin hoga
-
Share this
- See Ghazal
ulaT kar jab bhī dekhī hai kitāb-e-zindagī ham ne
to har ik lafz ke pīchhe koī ik hādisa niklā
ulaT kar jab bhi dekhi hai kitab-e-zindagi hum ne
to har ek lafz ke pichhe koi ek hadisa nikla
-
Share this
- See Ghazal
vahī ik qissa ab tak dhyān meñ raushan nahīñ hotā
tasalsul jis se vābasta hai pichhlī dāstānoñ kā
wahi ek qissa ab tak dhyan mein raushan nahin hota
tasalsul jis se wabasta hai pichhli dastanon ka
-
Share this
- See Ghazal