Aqeel Shadab
Ghazal 17
Nazm 1
Sher-o-Shayari 16
barā.e-nām sahī koī mehrbān to hai
hamāre sar pe bhī hone ko āsmān to hai
TRANSLATION
Even if just for name, a patron there is one,
Over our heads too, there is a sky to reckon.
Sagar Akbarabadi
barae-nam sahi koi mehrban to hai
hamare sar pe bhi hone ko aasman to hai
TRANSLATION
Even if just for name, a patron there is one,
Over our heads too, there is a sky to reckon.
Sagar Akbarabadi
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
zindagī jis ke tasavvur meñ basar kī ham ne
haa.e vo shaḳhs haqīqat meñ kahānī niklā
zindagi jis ke tasawwur mein basar ki hum ne
hae wo shaKHs haqiqat mein kahani nikla
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ye aur baat ki vo ab yahāñ nahīñ rahtā
magar ye us kā basāyā huā makān to hai
ye aur baat ki wo ab yahan nahin rahta
magar ye us ka basaya hua makan to hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
mujhe kisī ne sunā hī nahīñ tavajjoh se
maiñ bad-zabān sadā-e-karaḳht huuñ shāyad
mujhe kisi ne suna hi nahin tawajjoh se
main bad-zaban sada-e-karaKHt hun shayad
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
zindagī mujh ko mirī nazroñ meñ sharminda na kar
mar chukā hai jo bahut pahle use zinda na kar
zindagi mujh ko meri nazron mein sharminda na kar
mar chuka hai jo bahut pahle use zinda na kar
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Doha 3
ik kāñTe se dūsrā maiñ ne liyā nikāl
phūloñ kā is des meñ kaisā paḌā akaal
ek kanTe se dusra main ne liya nikal
phulon ka is des mein kaisa paDa akal
- Add to favorites
-
Share this
chādar mailī ho ga.ī ab kaise lauTā.ūñ
apne piyā ke sāmne jaate hue sharmā.ūñ
chadar maili ho gai ab kaise lauTaun
apne piya ke samne jate hue sharmaun
- Add to favorites
-
Share this
jaise shabd meñ arth hai jaise aañkh meñ niir
aise tujh meñ basā huā vo mahfil kā miir
jaise shabd mein arth hai jaise aankh mein nir
aise tujh mein basa hua wo mahfil ka mir
- Add to favorites
-
Share this