ALL
Profile
Ghazal89
Nazm100
Sher120
E-book12
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari15
Audio34
Video24
Blog1
Other
Mohammad Alvi
Ghazal 89
Nazm 100
Sher-o-Shayari 120
dhuup ne guzārish kī
ek buuñd bārish kī
dhup ne guzarish ki
ek bund barish ki
-
Share this
- See Ghazal
roz achchhe nahīñ lagte aañsū
ḳhaas mauqoñ pe mazā dete haiñ
roz achchhe nahin lagte aansu
KHas mauqon pe maza dete hain
-
Share this
- See Ghazal
aaj phir mujh se kahā dariyā ne
kyā irāda hai bahā le jā.ūñ
aaj phir mujh se kaha dariya ne
kya irada hai baha le jaun
-
Share this
- See Ghazal
añdherā hai kaise tirā ḳhat paḌhūñ
lifāfe meñ kuchh raushnī bhej de
andhera hai kaise tera KHat paDhun
lifafe mein kuchh raushni bhej de
-
Share this
- See Ghazal
ab to chup-chāp shaam aatī hai
pahle chiḌiyoñ ke shor hote the
ab to chup-chap sham aati hai
pahle chiDiyon ke shor hote the
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 12
Image Shayari 15
ko.ii haadsa ko.ii saaneha ko.ii bahut hii burii KHabar abhii kahii.n se aa.egii! aisii jaan-levaa fikro.n me.n saaraa din Duubaa rahtaa huu.n raat ko sone se pahle apne-aap se kahtaa huu.n bhaa.ii mire din KHair se guzraa ghar me.n sab aaraam se hai.n kal kii fikre.n kal ke liye uThaa rakkho mumkin ho to apne-aap ko maut kii nii.nd sulaa rakkho!!