aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
kyuuñ parakhte ho savāloñ se javāboñ ko 'adīm'
hoñT achchhe hoñ to samjho ki savāl achchhā hai
kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'
honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai
mire har amal ko sarāh kar ye aziyyateñ na diyā karo
mirī jaan tum bhī ajiib ho tumheñ rūThnā bhī to chāhiye
mere har amal ko sarah kar ye aziyyaten na diya karo
meri jaan tum bhi ajib ho tumhein ruThna bhi to chahiye
tark-e-ta.alluqāt pe royā na tū na maiñ
lekin ye kyā ki chain se soyā na tū na maiñ
tark-e-talluqat pe roya na tu na main
lekin ye kya ki chain se soya na tu na main
ham jis ke ho ga.e vo hamārā na ho sakā
yuuñ bhī huā hisāb barābar kabhī kabhī
hum jis ke ho gae wo hamara na ho saka
yun bhi hua hisab barabar kabhi kabhi
kahānī likhte hue dāstāñ sunāte hue
vo so gayā hai mujhe ḳhvāb se jagāte hue
kahani likhte hue dastan sunate hue
wo so gaya hai mujhe KHwab se jagate hue
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books