Jaun Eliya
janaab jaun eliyaa hamaare ahd ke ba.De KHush go aur KHush fikr shaa.ir hai.n. un ke yahaa.n jazbaatii vafuur ke saath saath gahre shu.uur kii jo parchhaa.iyaa.n miltii hai.n un kii vaj.h se janaab jaun eliyaa kii shaa.irii ba.Dii qaabil-e-qadr aur aham ho ga.ii hai. Va taariiKH aur falsafe ke ba.De ziirak taalib-e-ilm hai.n. zindagii aur mu.aashare ke baare me.n un kaa radd-e-amal ba.Daa haqiiqat pasandaana aur musbat hai. agarche funuun-e-latiifa me.n viraasat kaa ko.ii tasavvur nahii.n taaham hamaarii shaa.irii me.n is kulliye ke jo istasnaa nazar aate hai.n un me.n janaab jaun eliyaa bhii shaamil hai.n shaa.irii aur adab unhe.n virse me.n mile hai.n balki ye kahnaa bajaa hai ki unho.n ne adab-o-sher kii aaGosh me.n aa.nkhe.n kholii hai.n aur adab-o-sher kii god me.n parvarish paa.ii hai lekin jo kuchh unho.n ne buzurgo.n se haasil kiyaa use apnii infiraadiyat kii chhaap aur apne zaatii rang-o-aahang se bahut zyaada pur-kashish aur asar a.ngez banaa diyaa hai.
janaab jaun eliyaa Gazal aur nazm dono.n par yaksaa.n dast ras rakhte hai.n. un kii Gazlo.n me.n rindana sarKHushii , taazgii nudrat-e-KHayaal hai nazme.n gahrii fikr kii haamil aur pur-asr hai.n. un ke kalaam kii jis KHusuusiyat ne mujhe sab se ziyada muta.assir kiyaa vo rindana-e-josh-o-KHarosh kii tah se ubharne vaalii fikr hai jo qaarii ke dil-o-dimaaG dono.n jhi.njho.D detii hai.

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.