Sher of Ejaz Rahmani
abhī se paañv ke chhāle na dekho
abhī yaaro safar kī ibtidā hai
abhi se panw ke chhaale na dekho
abhi yaro safar ki ibtida hai
vo ek pal kī rifāqat bhī kyā rifāqat thī
jo de ga.ī hai mujhe umar bhar kī tanhā.ī
wo ek pal ki rifaqat bhi kya rifaqat thi
jo de gai hai mujhe umar bhar ki tanhai
tālāb to barsāt meñ ho jaate haiñ kam-zarf
bāhar kabhī aape se samundar nahīñ hotā
talab to barsat mein ho jate hain kam-zarf
bahar kabhi aape se samundar nahin hota
jahāñ pe Duub gayā merī aas kā sūraj
usī jagah vo sitāra-shanās rahtā hai
jahan pe Dub gaya meri aas ka suraj
usi jagah wo sitara-shanas rahta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
guzar rahā huuñ maiñ saudā-garoñ kī bastī se
badan pe dekhiye kab tak libās rahtā hai
guzar raha hun main sauda-garon ki basti se
badan pe dekhiye kab tak libas rahta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fitrat ke taqāze kabhī badle nahīñ jaate
ḳhushbū hai agar vo to bikharnā hī paḌegā
fitrat ke taqaze kabhi badle nahin jate
KHushbu hai agar wo to bikharna hi paDega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download