Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jawad Sheikh's Photo'

Jawad Sheikh

1985 | Portugal

Jawad Sheikh

Ghazal 25

Sher-o-Shayari 16

apne sāmān ko bāñdhe hue is soch meñ huuñ

jo kahīñ ke nahīñ rahte vo kahāñ jaate haiñ

apne saman ko bandhe hue is soch mein hun

jo kahin ke nahin rahte wo kahan jate hain

  • Share this

maiñ ab kisī bhī ummīd toḌ saktā huuñ

mujhe kisī pe bhī ab koī e'tibār nahīñ

main ab kisi ki bhi ummid toD sakta hun

mujhe kisi pe bhi ab koi e'tibar nahin

kyā hai jo ho gayā huuñ maiñ thoḌā bahut ḳharāb

thoḌā bahut ḳharāb to honā bhī chāhiye

kya hai jo ho gaya hun main thoDa bahut KHarab

thoDa bahut KHarab to hona bhi chahiye

maiñ chāhtā huuñ mohabbat mujhe fanā kar de

fanā bhī aisā ki jis koī misāl na ho

main chahta hun mohabbat mujhe fana kar de

fana bhi aisa ki jis ki koi misal na ho

ab mirā dhyān kahīñ aur chalā jaatā hai

ab koī film mukammal nahīñ dekhī jaatī

ab mera dhyan kahin aur chala jata hai

ab koi film mukammal nahin dekhi jati

BOOKS 1

 

RELATED Artists

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now