Sher of Parkash Fikri
mujhe to yuuñ bhī isī raah se guzarnā thā
dil-e-tabāh kā kuchh to ilaaj karnā thā
TRANSLATION
I had to traverse this path, even otherwise,
A cure for was needed for heart’s malaise.
Sagar Akbarabadi
mujhe to yun bhi isi rah se guzarna tha
dil-e-tabah ka kuchh to ilaj karna tha
TRANSLATION
I had to traverse this path, even otherwise,
A cure for was needed for heart’s malaise.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yuuñ to apnoñ sā kuchh nahīñ is meñ
phir bhī ġhairoñ se vo alag sā hai
yun to apnon sa kuchh nahin is mein
phir bhi ghairon se wo alag sa hai
jidhar dekho lahū bikhrā huā hai
nishāna kaun golī kā banā hai
jidhar dekho lahu bikhra hua hai
nishana kaun goli ka bana hai
larzāñ hai kisī ḳhauf se jo shaam kā chehra
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb pirone nahīñ detā
larzan hai kisi KHauf se jo sham ka chehra
aankhon mein koi KHwab pirone nahin deta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
murda paḌe the log gharoñ kī panāh meñ
dariyā vafūr-e-ġhaiz se biphrā thā chaar sū
murda paDe the log gharon ki panah mein
dariya wafur-e-ghaiz se biphra tha chaar su