Rahi Masoom Raza
Article 1
Sher-o-Shayari 5
dil kī khetī suukh rahī hai kaisī ye barsāt huī
ḳhvāboñ ke bādal aate haiñ lekin aag barastī hai
dil ki kheti sukh rahi hai kaisi ye barsat hui
KHwabon ke baadal aate hain lekin aag barasti hai
-
Share this
- See Ghazal
haañ unhīñ logoñ se duniyā meñ shikāyat hai hameñ
haañ vahī log jo akasr hameñ yaad aa.e haiñ
han unhin logon se duniya mein shikayat hai hamein
han wahi log jo akasr hamein yaad aae hain
-
Share this
- See Ghazal
is safar meñ niiñd aisī kho ga.ī
ham na so.e raat thak kar so ga.ī
is safar mein nind aisi kho gai
hum na soe raat thak kar so gai
-
Share this
- See Ghazal
zindagī DhūñDh le tū bhī kisī dīvāne ko
us ke gesū to mire pyaar ne suljhā.e haiñ
zindagi DhunDh le tu bhi kisi diwane ko
us ke gesu to mere pyar ne suljhae hain
-
Share this
- See Ghazal
Ghazal 11
Nazm 16
BOOKS 16
Image Shayari 9
ham to hai.n pardes me.n des me.n niklaa hogaa chaa.nd apnii raat kii chhat par kitnaa tanhaa hogaa chaa.nd jin aa.nkho.n me.n kaajal ban kar tairii kaalii raat un aa.nkho.n me.n aa.nsuu kaa ik qatra hogaa chaa.nd raat ne aisaa pe.nch lagaayaa TuuTii haath se Dor aa.ngan vaale niim me.n jaa kar aTkaa hogaa chaa.nd chaa.nd binaa har din yuu.n biitaa jaise yug biite mere binaa kis haal me.n hogaa kaisaa hogaa chaa.nd
ham kyaa jaane.n qissa kyaa hai ham Thahre diivaane log us bastii ke baazaaro.n me.n roz kahe.n afsaane log yaado.n se bachnaa mushkil hai un ko kaise samjhaa.e.n hijr ke is sahraa tak ham ko aate hai.n samjhaane log kaun ye jaane diivaane par kaisii saKHt guzartii hai aapas me.n kuchh kah kar ha.nste hai.n jaane pahchaane log phir sahraa se Dar lagtaa hai phir shahro.n kii yaad aa.ii phir shaayad aane vaale hai.n zanjiire.n pahnaane log ham to dil kii viiraanii bhii dikhlaate sharmaate hai.n ham ko dikhlaane aate hai.n zehno.n ke viiraane log us mahfil me.n pyaas kii izzat karne vaalaa hogaa kaun jis mahfil me.n to.D rahe ho.n aa.ankho.n se paimaane log
aa.o vaapas chale.n raat ke raaste par vahaa.n niind kii bastiyaa.n thii.n jahaa.n KHaak chhaanii.n ko.ii KHvaab Dhuu.nDe.n ki suuraj ke raste kaa raKHt-e-safar KHvaab hai aur is din ke baazaar me.n kal talak KHvaab kamyaab thaa aaj naayaab hai