Sher of Shamim Jaipuri
mirī ḳhushī se mire dostoñ ko ġham hai 'shamīm'
mujhe bhī is kā bahut ġham hai kyā kiyā jaa.e
meri KHushi se mere doston ko gham hai 'shamim'
mujhe bhi is ka bahut gham hai kya kiya jae
bahut tavīl shab-e-ġham hai kyā kiyā jaa.e
umīd-e-sub.h bahut kam hai kyā kiyā jaa.e
bahut tawil shab-e-gham hai kya kiya jae
umid-e-subh bahut kam hai kya kiya jae
bā-vafā.ī kī adā paane lagā huuñ tujh meñ
ai jafā-dost ye kyā dekh rahā huuñ tujh meñ
ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein
ai jafa-dost ye kya dekh raha hun tujh mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tark-e-mohabbat par bhī hogī un ko nadāmat ham se ziyāda
kis ne kī hai kaun karegā un se mohabbat ham se ziyāda
TRANSLATION
If I were to snap my love, she will be embarrassed more than me,
For who has ever or who possibly can, love her ever more than me.
Sagar Akbarabadi
tark-e-mohabbat par bhi hogi un ko nadamat hum se ziyaada
kis ne ki hai kaun karega un se mohabbat hum se ziyaada
TRANSLATION
If I were to snap my love, she will be embarrassed more than me,
For who has ever or who possibly can, love her ever more than me.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā hai ki gosha-e-jahannam
har vaqt azāb-e-ilāhī tauba
duniya hai ki gosha-e-jahannam
har waqt azab-e-ilahi tauba