Dohe of Zafar Gorakhpuri
kaun yahāñ jo haath meñ saarā yug le thaam
ek sirā jo chhū sake bahut baḌā ye kaam
kaun yahan jo hath mein sara yug le tham
ek sira jo chhu sake bahut baDa ye kaam
parbat ho to pheñk duuñ kisī tarah ai jaan
kyā chhātī pe hai dharā ḳhud maiñ hī anjān
parbat ho to phenk dun kisi tarah ai jaan
kya chhati pe hai dhara KHud main hi anjaan
man sahrā hai pyaas kā tan zaḳhmoñ kī sej
saarī dhartī karbalā maulā paanī bhej
man sahra hai pyas ka tan zaKHmon ki sej
sari dharti karbala maula pani bhej
bhūkī bheḌ hai jism meñ bas siipī bhar ḳhuun
charvāhe ko duudh de yā tājir ko uun
bhuki bheD hai jism mein bas sipi bhar KHun
charwahe ko dudh de ya tajir ko un
hare-bhare kuchh dhyān the aur na thā kuchh paas
pāñv-tale se khīñch lī kis ne ThanDī ghaas
hare-bhare kuchh dhyan the aur na tha kuchh pas
panw-tale se khinch li kis ne ThanDi ghas
sakhī-rī jab ye Thaan lī jaanā hai sājan dvaar
kyā sāñsoñ kī beḌiyāñ kyā tan kī talvār
sakhi-ri jab ye Than li jaana hai sajan dwar
kya sanson ki beDiyan kya tan ki talwar