Zehra Nigaah
Ghazal 46
Nazm 39
Sher-o-Shayari 49
bastī meñ kuchh log nirāle ab bhī haiñ
dekho ḳhālī dāman vaale ab bhī haiñ
basti mein kuchh log nirale ab bhi hain
dekho KHali daman wale ab bhi hain
-
Share this
- See Ghazal
dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale
apne apne ḳhānoñ meñ baT jaate haiñ
dekhte dekhte ek ghar ke rahne wale
apne apne KHanon mein baT jate hain
-
Share this
- See Ghazal
jo dil ne kahī lab pe kahāñ aa.ī hai dekho
ab mahfil yārāñ meñ bhī tanhā.ī hai dekho
jo dil ne kahi lab pe kahan aai hai dekho
ab mahfil yaran mein bhi tanhai hai dekho
-
Share this
- See Ghazal
nahīñ nahīñ hameñ ab terī justujū bhī nahīñ
tujhe bhī bhuul ga.e ham tirī ḳhushī ke liye
nahin nahin hamein ab teri justuju bhi nahin
tujhe bhi bhul gae hum teri KHushi ke liye
-
Share this
- See Ghazal
shaam Dhale aahaT kī kirneñ phūTī thiiñ
sūraj Duub ke mere ghar meñ niklā thā
sham Dhale aahaT ki kirnen phuTi thin
suraj Dub ke mere ghar mein nikla tha
-
Share this
- See Ghazal
Children's Story 1
Image Shayari 4
baiThe baiThe kaisaa dil ghabraa jaataa hai jaane vaalo.n kaa jaanaa yaad aa jaataa hai baat-chiit me.n jis kii ravaanii masal hu.ii ek naam lete me.n kuchh ruk saa jaataa hai ha.nstii-bastii raaho.n kaa KHush-baash musaafir rozii kii bhaTTii kaa ii.ndhan ban jaataa hai daftar mansab dono.n zehn ko khaa lete hai.n ghar vaalo.n kii qismat me.n tan rah jaataa hai ab is ghar kii aabaadii mehmaano.n par hai ko.ii aa jaa.e to vaqt guzar jaataa hai