Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zulfiqar Aadil's Photo'

Zulfiqar Aadil

1972 | Karachi, Pakistan

Represents the new generation of poets and story writers.

Represents the new generation of poets and story writers.

Sher of Zulfiqar Aadil

ravānī meñ nazar aatā hai jo bhī

use taslīm kar lete haiñ paanī

rawani mein nazar aata hai jo bhi

use taslim kar lete hain pani

baiThe baiThe pheñk diyā hai ātish-dān meñ kyā kyā kuchh

mausam itnā sard nahīñ thā jitnī aag jalā hai

baiThe baiThe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh

mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai

vāpas palaT rahe haiñ azal talāsh meñ

mansūḳh aap apnā likhā kar rahe haiñ ham

wapas palaT rahe hain azal ki talash mein

mansuKH aap apna likha kar rahe hain hum

ye kis ne haat peshānī pe rakkhā

hamārī niiñd puurī ho ga.ī hai

ye kis ne hat peshani pe rakkha

hamari nind puri ho gai hai

baiThe baiThe isī ġhubār ke saath

ab to uḌnā bhī aa gayā hai mujhe

baiThe baiThe isi ghubar ke sath

ab to uDna bhi aa gaya hai mujhe

yuuñ uThe ik din ki logoñ ko huā

abr dhokā hamārī ḳhaak par

yun uThe ek din ki logon ko hua

abr ka dhoka hamari KHak par

dasht-o-dariyā ibtidā se haiñ

ham vahī tiin din ke pyāse haiñ

dasht-o-dariya ki ibtida se hain

hum wahi tin din ke pyase hain

'ādil' saje hue haiñ sabhī ḳhvāb ḳhvān par

aur intizār-e-ḳhalq-e-ḳhudā kar rahe haiñ ham

'adil' saje hue hain sabhi KHwab KHwan par

aur intizar-e-KHalq-e-KHuda kar rahe hain hum

Recitation

Speak Now