Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Wasi's Photo'

Ahmad Wasi

1943 | Mumbai, India

Sher of Ahmad Wasi

1.8K
Favorite

SORT BY

tujh se samjhaute hai shart yahī a duniyā

jab ishāra maiñ karūñ merī taraf aa.e

tujh se samjhaute ki hai shart yahi a duniya

jab ishaara main karun meri taraf tu aae

apnī zaat ke sahrā meñ aaj

log chup-chāp jalā karte haiñ

apni hi zat ke sahra mein aaj

log chup-chap jala karte hain

log hairat se mujhe dekh rahe haiñ aise

mere chehre pe koī naam likhā ho jaise

log hairat se mujhe dekh rahe hain aise

mere chehre pe koi nam likha ho jaise

muddat ke ba.ad aa.ina kal sāmne paḌā

dekhī jo apnī shakl to chehra utar gayā

muddat ke baad aaina kal samne paDa

dekhi jo apni shakl to chehra utar gaya

meñ saañs saañs huuñ ghāyal ye kaun mānegā

badan pe choT koī nishān bhī to nahīñ

mein sans sans hun ghayal ye kaun manega

badan pe choT ka koi nishan bhi to nahin

jo chehre duur se lagte haiñ aadmī jaise

vahī qarīb se patthar dikhā.ī dete haiñ

jo chehre dur se lagte hain aadmi jaise

wahi qarib se patthar dikhai dete hain

jhuuT boloñ to gunahgār banoñ

saaf kah duuñ to sazā-vār banoñ

jhuT bolon to gunahgar banon

saf kah dun to saza-war banon

thak ke yuuñ pichhle pahar sau gayā merā ehsās

raat bhar shahr meñ āvāra phirā ho jaise

thak ke yun pichhle pahar sau gaya mera ehsas

raat bhar shahr mein aawara phira ho jaise

yuuñ jāgne lage tirī yādoñ ke silsile

sūraj galī galī se nikaltā dikhā.ī de

yun jagne lage teri yaadon ke silsile

suraj gali gali se nikalta dikhai de

bartāv is tarah rahe har kisī ke saath

ḳhud ko liye diye bhī raho dostī ke saath

bartaw is tarah ka rahe har kisi ke sath

KHud ko liye diye bhi raho dosti ke sath

phir chāñdnī lage tirī parchhā.īñ tarah

phir chāñd terī shakl meñ Dhaltā dikhā.ī de

phir chandni lage teri parchhain ki tarah

phir chand teri shakl mein Dhalta dikhai de

jo kahtā thā zamīñ ko maiñ sitāroñ se sajā dūñgā

vahī bastī tah meñ rakh gayā chiñgāriyāñ apnī

jo kahta tha zamin ko main sitaron se saja dunga

wahi basti ki tah mein rakh gaya chingariyan apni

judā.ī kyuuñ diloñ ko aur bhī nazdīk laatī hai

bichhaḌ kar kyuuñ ziyāda pyaar ehsās hotā hai

judai kyun dilon ko aur bhi nazdik lati hai

bichhaD kar kyun ziyaada pyar ka ehsas hota hai

in se zinda hai ye ehsās ki zinda huuñ maiñ

shahr meñ kuchh mire dushman haiñ bahut achchhā hai

in se zinda hai ye ehsas ki zinda hun main

shahr mein kuchh mere dushman hain bahut achchha hai

muddat guzar ga.ī hai ki dil ko sukūñ nahīñ

muddat guzar ga.ī hai kisī bhalā kiye

muddat guzar gai hai ki dil ko sukun nahin

muddat guzar gai hai kisi ka bhala kiye

vo kare baat to har lafz se ḳhushbū aa.e

aisī bolī vahī bole jise urdu aa.e

wo kare baat to har lafz se KHushbu aae

aisi boli wahi bole jise urdu aae

rotī āñkhoñ ko hañsāne hunar le ke chalo

ghar se niklo to ye sāmān-e-safar le ke chalo

roti aankhon ko hansane ka hunar le ke chalo

ghar se niklo to ye saman-e-safar le ke chalo

tumheñ tumhāre alāva bhī kuchh nazar aa.e

gar apne ā.ina-ḳhānoñ se tum nikal aa aao

tumhein tumhaare alawa bhi kuchh nazar aae

gar apne aaina-KHanon se tum nikal aa aao

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now