Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ajmal Ajmali's Photo'

Ajmal Ajmali

1932 - 1993 | Allahabad, India

Well-known poet, author, and translator.

Well-known poet, author, and translator.

Ajmal Ajmali

Ghazal 11

Sher-o-Shayari 8

maañ ne likhā hai ḳhat meñ jahāñ jaao ḳhush raho

mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhūlnā

man ne likha hai KHat mein jahan jao KHush raho

mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulna

hazār manzil-e-ġham se guzar chuke lekin

abhī junūn-e-mohabbat ibtidā bhī nahīñ

hazar manzil-e-gham se guzar chuke lekin

abhi junun-e-mohabbat ki ibtida bhi nahin

jab bhī miltā huuñ vahī chehra liye

bad-duā detā hai ā.īna mujhe

jab bhi milta hun wahi chehra liye

bad-dua deta hai aaina mujhe

  • Share this

tār-e-nazar bhī ġham tamāzat se ḳhushk hai

vo pyaas hai mile to samundar sameT luuñ

tar-e-nazar bhi gham ki tamazat se KHushk hai

wo pyas hai mile to samundar sameT lun

kitnī tavīl kyuuñ na ho bātil zindagī

har raat hai sub.h muqaddar na bhūlnā

kitni tawil kyun na ho baatil ki zindagi

har raat ka hai subh muqaddar na bhulna

BOOKS 13

More Authors From "Allahabad"

 

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now