Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akbar Masoom's Photo'

Akbar Masoom

1960 - 2019 | Karachi, Pakistan

Akbar Masoom

Ghazal 13

Sher-o-Shayari 10

rah jā.egī ye saarī kahānī yahīñ dharī

ik roz jab maiñ apne fasāne meñ jā.ūñgā

rah jaegi ye sari kahani yahin dhari

ek roz jab main apne fasane mein jaunga

ab terā khel khel rahā huuñ maiñ apne saath

ḳhud ko pukārtā huuñ aur aatā nahīñ huuñ maiñ

ab tera khel khel raha hun main apne sath

KHud ko pukarta hun aur aata nahin hun main

  • Share this

ab tujhe merā naam yaad nahīñ

jab ki terā patā rahā huuñ maiñ

ab tujhe mera nam yaad nahin

jab ki tera pata raha hun main

vo aur hoñge jo kār-e-havas pe zinda haiñ

maiñ us dhuup se saaya badal ke aayā huuñ

wo aur honge jo kar-e-hawas pe zinda hain

main us ki dhup se saya badal ke aaya hun

hai musībat meñ giraftār musībat merī

jo bhī mushkil hai vo mere liye āsānī hai

hai musibat mein giraftar musibat meri

jo bhi mushkil hai wo mere liye aasani hai

BOOKS 2

 

Videos 4

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Poet reciting own poetry

Akbar Masoom

Akbar Masoom

Akbar Masoom

ye saare phuul ye patthar usii se milte hai.n

Akbar Masoom

More Authors From "Karachi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now