Sher of Akhtar Bastavi
barsoñ se is meñ phal nahīñ aa.e to kyā huā
saaya to ab bhī sahn ke kohna shajar meñ hai
barson se is mein phal nahin aae to kya hua
saya to ab bhi sahn ke kohna shajar mein hai
āsāñ nahīñ insāf kī zanjīr hilānā
duniyā ko jahāñgīr kā darbār na samjho
aasan nahin insaf ki zanjir hilana
duniya ko jahangir ka darbar na samjho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kījiye kis kis se āḳhir nā-shanāsī kā gila
jab kisī ne bhī nigāh-e-mo.atabar Daalī nahīñ
kijiye kis kis se aaKHir na-shanasi ka gila
jab kisi ne bhi nigah-e-moatabar Dali nahin