Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Shajar

ye ik shajar ki jis pe na kāñTā na phuul hai

saa.e meñ us ke baiTh ke ronā fuzūl hai

ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai

sae mein us ke baiTh ke rona fuzul hai

Shahryar

bichhaḌ ke tujh se na dekhā gayā kisī milāp

uḌā diye haiñ parinde shajar pe baiThe hue

bichhaD ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap

uDa diye hain parinde shajar pe baiThe hue

Adeem Hashmi

vahī charāġh bujhā jis lau qayāmat thī

usī pe zarb paḌī jo shajar purānā thā

wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi

usi pe zarb paDi jo shajar purana tha

Iftikhar Arif

kal raat jo īñdhan ke liye kaT ke girā hai

chiḌiyoñ ko bahut pyaar thā us būḌhe shajar se

kal raat jo indhan ke liye kaT ke gira hai

chiDiyon ko bahut pyar tha us buDhe shajar se

Parveen Shakir

shajar ne pūchhā ki tujh meñ ye kis ḳhushbū hai

havā-e-shām-e-alam ne kahā udāsī

shajar ne puchha ki tujh mein ye kis ki KHushbu hai

hawa-e-sham-e-alam ne kaha udasi ki

Rehman Faris

ik shajar aisā mohabbat lagāyā jaa.e

jis ham-sā.e ke āñgan meñ bhī saayā jaa.e

ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae

jis ka ham-sae ke aangan mein bhi saya jae

Zafar Zaidi

ġhamoñ se bair thā so ham ne ḳhud-kushī kar

shajar girā ke parindoñ se intiqām liyā

ghamon se bair tha so hum ne KHud-kushi kar li

shajar gira ke parindon se intiqam liya

Balmohan panday

har shaḳhs par kiyā na karo itnā e'timād

har sāya-dār shai ko shajar mat kahā karo

har shaKHs par kiya na karo itna e'timad

har saya-dar shai ko shajar mat kaha karo

Muzaffar Warsi

ajiib dard rishta thā sab ke sab ro.e

shajar girā to parinde tamām shab ro.e

ajib dard ka rishta tha sab ke sab roe

shajar gira to parinde tamam shab roe

Tariq Naeem

thakan bahut thī magar sāya-e-shajar meñ 'jamāl'

maiñ baiThtā to mirā ham-safar chalā jaatā

thakan bahut thi magar saya-e-shajar mein 'jamal'

main baiThta to mera ham-safar chala jata

Jamal Ehsani

maiñ ik shajar tarah rah-guzar meñ Thahrā huuñ

thakan utaar ke kis taraf ravāna huā

main ek shajar ki tarah rah-guzar mein Thahra hun

thakan utar ke tu kis taraf rawana hua

Naseer Turabi

chale jo dhuup meñ manzil thī un

hameñ to khā gayā saaya shajar

chale jo dhup mein manzil thi un ki

hamein to kha gaya saya shajar ka

Umar Ansari

uḌ ga.e saare parinde mausamoñ chaah meñ

intizār un magar būḌhe shajar karte rahe

uD gae sare parinde mausamon ki chah mein

intizar un ka magar buDhe shajar karte rahe

Ambareen Haseeb ambar

safar ho shaah qāfila faqīroñ

shajar mizāj samajhte haiñ rāhgīroñ

safar ho shah ka ya qafila faqiron ka

shajar mizaj samajhte hain rahgiron ka

Atul Ajnabi

bhale chhāñv na de aasrā to detā hai

ye aarzū shajar hai ḳhizāñ-rasīda sahī

bhale hi chhanw na de aasra to deta hai

ye aarzu ka shajar hai KHizan-rasida sahi

Ghalib Ayaz

tum lagāte chalo ashjār jidhar se guzro

us ke saa.e meñ jo baiThegā duā degā

tum lagate chalo ashjar jidhar se guzro

us ke sae mein jo baiThega dua hi dega

Unknown

parinde laḌ paḌe jā.edād par āḳhir

shajar pe likkhā huā hai shajar barā.e-faroḳht

parinde laD hi paDe jaedad par aaKHir

shajar pe likkha hua hai shajar barae-faroKHt

Afzal Khan

lagāyā mohabbat jab yaañ shajar

shajar lag gayā aur samar jal gayā

lagaya mohabbat ka jab yan shajar

shajar lag gaya aur samar jal gaya

Meer Hasan

us shajar ke saa.e meñ baiThā huuñ maiñ

jis shāḳhoñ par koī pattā nahīñ

us shajar ke sae mein baiTha hun main

jis ki shaKHon par koi patta nahin

Ali Ahmad Jalili

makāñ banāte hue chhat bahut zarūrī hai

bachā ke sehn meñ lekin shajar bhī rakhnā hai

makan banate hue chhat bahut zaruri hai

bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai

Fatima Hasan

aa mujhe chhū ke harā rañg bichhā de mujh par

maiñ bhī ik shāḳh rakhtā huuñ shajar karne ko

aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par

main bhi ek shaKH si rakhta hun shajar karne ko

Farhat Ehsas

jal kar girā huuñ sūkhe shajar se uḌā nahīñ

maiñ ne vahī kiyā jo taqāzā vafā thā

jal kar gira hun sukhe shajar se uDa nahin

main ne wahi kiya jo taqaza wafa ka tha

Akbar Hameedi

'arsh' bahāroñ meñ bhī aayā ek nazāra patjhaḌ

sabz shajar ke sabz tane par ik sūkhī Daalī thī

'arsh' bahaaron mein bhi aaya ek nazara patjhaD ka

sabz shajar ke sabz tane par ek sukhi si Dali thi

Vijay Sharma

barsoñ se is meñ phal nahīñ aa.e to kyā huā

saaya to ab bhī sahn ke kohna shajar meñ hai

barson se is mein phal nahin aae to kya hua

saya to ab bhi sahn ke kohna shajar mein hai

Akhtar Bastavi

purāne ahd ke qisse sunātā rahtā hai

bachā huā hai jo būḌhā shajar hamārī taraf

purane ahd ke qisse sunata rahta hai

bacha hua hai jo buDha shajar hamari taraf

Tahir Faraz

mere ashjār azādār hue jaate haiñ

gaañv ke gaañv jo bāzār hue jaate haiñ

mere ashjar azadar hue jate hain

ganw ke ganw jo bazar hue jate hain

Ahmad Irfan

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now