Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Parinda

Birds have a commune

of their own and they relate with humans in their own ways. They represent nature, innocence, and beauty but they also represent imagination, aspiration, and strength. Poets have used the images of birds both in abstract and concrete terms and to create a plethora of meanings. Here are some verses for your perusal and appreciation.

tum parindoñ se ziyāda to nahīñ ho āzād

shaam hone ko hai ab ghar taraf lauT chalo

tum parindon se ziyaada to nahin ho aazad

sham hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo

Irfan Siddiqi

ik parinda abhī uḌaan meñ hai

tiir har shaḳhs kamān meñ hai

ek parinda abhi uDan mein hai

tir har shaKHs ki kaman mein hai

Ameer Qazalbash

nikāl laayā huuñ ek pinjre se ik parinda

ab is parinde ke dil se piñjra nikālnā hai

nikal laya hun ek pinjre se ek parinda

ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai

Umair Najmi

ab to chup-chāp shaam aatī hai

pahle chiḌiyoñ ke shor hote the

ab to chup-chap sham aati hai

pahle chiDiyon ke shor hote the

Mohammad Alvi

bichhaḌ ke tujh se na dekhā gayā kisī milāp

uḌā diye haiñ parinde shajar pe baiThe hue

bichhaD ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap

uDa diye hain parinde shajar pe baiThe hue

Adeem Hashmi

mujhe mālūm hai us Thikānā phir kahāñ hogā

parinda āsmāñ chhūne meñ jab nākām ho jaa.e

mujhe malum hai us ka Thikana phir kahan hoga

parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae

Bashir Badr

parind shāḳh pe tanhā udaas baiThā hai

uḌaan bhuul gayā muddatoñ bandish meñ

parind shaKH pe tanha udas baiTha hai

uDan bhul gaya muddaton ki bandish mein

Khaleel Tanveer

ye parinde bhī khetoñ ke mazdūr haiñ

lauT ke apne ghar shaam tak jā.eñge

ye parinde bhi kheton ke mazdur hain

lauT ke apne ghar sham tak jaenge

Bashir Badr

kuchh ehtiyāt parinde bhī rakhnā bhuul ga.e

kuchh intiqām bhī āñdhī ne badtarīn liye

kuchh ehtiyat parinde bhi rakhna bhul gae

kuchh intiqam bhi aandhi ne badtarin liye

Nusrat Gwaliari

ajiib dard rishta thā sab ke sab ro.e

shajar girā to parinde tamām shab ro.e

ajib dard ka rishta tha sab ke sab roe

shajar gira to parinde tamam shab roe

Tariq Naeem

parinde duur fazāoñ meñ kho ga.e 'alvī'

ujaaḌ ujaaḌ daraḳhtoñ pe āshiyāne the

parinde dur fazaon mein kho gae 'alwi'

ujaD ujaD daraKHton pe aashiyane the

Mohammad Alvi

jaane kyā kyā zulm parinde dekh ke aate haiñ

shaam Dhale peḌoñ par marsiya-ḳhvānī hotī hai

jaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hain

sham Dhale peDon par marsiya-KHwani hoti hai

Afzal Khan

parind ūñchī uḌānoñ dhun meñ rahtā hai

magar zamīñ hadoñ meñ basar bhī kartā hai

parind unchi uDanon ki dhun mein rahta hai

magar zamin ki hadon mein basar bhi karta hai

Khaleel Tanveer

parind kyuuñ mirī shāḳhoñ se ḳhauf khāte haiñ

ki ik daraḳht huuñ aur sāya-dār maiñ bhī huuñ

parind kyun meri shaKHon se KHauf khate hain

ki ek daraKHt hun aur saya-dar main bhi hun

Asad Badayuni

ye rañg rañg parinde ham se achchhe haiñ

jo ik daraḳht pe rahte haiñ beliyoñ tarah

ye rang rang parinde hi hum se achchhe hain

jo ek daraKHt pe rahte hain beliyon ki tarah

Khaqan Khavar

parind peḌ se parvāz karte jaate haiñ

ki bastiyoñ muqaddar badaltā jaatā hai

parind peD se parwaz karte jate hain

ki bastiyon ka muqaddar badalta jata hai

Asad Badayuni

ye tā.eroñ qatāreñ kidhar ko jaatī haiñ

na koī daam bichhā hai kahīñ na daana hai

ye taeron ki qataren kidhar ko jati hain

na koi dam bichha hai kahin na dana hai

Asad Badayuni

reg-e-dil meñ ka.ī nādīda parinde bhī haiñ dafn

sochte hoñge ki dariyā ziyārat kar jaa.eñ

reg-e-dil mein kai nadida parinde bhi hain dafn

sochte honge ki dariya ki ziyarat kar jaen

Idris Babar

jaane kyā soch ke phir in ko rihā.ī de

ham ne ab ke bhī parindoñ ko tah-e-dām kiyā

jaane kya soch ke phir in ko rihai de di

hum ne ab ke bhi parindon ko tah-e-dam kiya

Ambar Bahraichi

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now