kahīñ sūraj nazar aatā nahīñ hai
hukūmat shahr meñ ab dhuñd kī hai
kahin suraj nazar aata nahin hai
hukumat shahr mein ab dhund ki hai
-
Tags : Dhuaanand 1 more
qahr Dhā.egī asīroñ kī taḌap
aur bhī uljheñge halqe daam ke
qahr Dhaegi asiron ki taDap
aur bhi uljhenge halqe dam ke
-
Tag : Resistance
ham parindoñ se hunar chhīnegā kaun
jal gayā ik ghar to sau ghar ban ga.e
hum parindon se hunar chhinega kaun
jal gaya ek ghar to sau ghar ban gae
-
Tags : Gharand 2 more
aap mazlūm ke ashkoñ se na khilvāḌ kareñ
ye vo dariyā haiñ jo shahroñ ko nigal sakte haiñ
aap mazlum ke ashkon se na khilwaD karen
ye wo dariya hain jo shahron ko nigal sakte hain
-
Tags : Aansooand 2 more
unhī pe ho kabhī nāzil azaab aag ajal
vahī nagar kabhī Thahreñ payambaroñ vaale
unhi pe ho kabhi nazil azab aag ajal
wahi nagar kabhi Thahren payambaron wale
-
Tags : Azaaband 1 more
kiyā ishq-e-majāzī ne haqīqat āshnā mujh ko
butoñ ne zulm vo Dhāyā ki yaad aaya ḳhudā mujh ko
kiya ishq-e-majazi ne haqiqat aashna mujh ko
buton ne zulm wo Dhaya ki yaad aaya KHuda mujh ko
-
Tags : Butand 3 more
sunī na ek bhī zālim ne aarzū dil kī
ye kis ke sāmne ham arz-e-hāl kar baiThe
suni na ek bhi zalim ne aarzu dil ki
ye kis ke samne hum arz-e-haal kar baiThe
-
Tag : Aarzoo
mar jā.eñge jab ham to bahut yaad karegī
jī bhar ke satā le shab-e-hijrāñ koī din aur
mar jaenge jab hum to bahut yaad karegi
ji bhar ke sata le shab-e-hijran koi din aur
-
Tags : Hijrand 1 more
zulm se gar zab.h bhī kar do mujhe parvā nahīñ
lutf se Dartā huuñ ye merī qazā ho jā.egā
zulm se gar zabh bhi kar do mujhe parwa nahin
lutf se Darta hun ye meri qaza ho jaega
-
Tag : Maut
zulm sah ke bhī maiñ ne hoñT sī liye 'ġhāzī'
ek zarf un kā hai ek zarf merā hai
zulm sah ke bhi main ne honT si liye 'ghazi'
ek zarf un ka hai ek zarf mera hai
-
Tag : Lab
maiñ mulk-badar sabr bhī kar saktī thī lekin
ye dekhnā thā zulm kī sarhad hai kahāñ tak
main mulk-badar sabr bhi kar sakti thi lekin
ye dekhna tha zulm ki sarhad hai kahan tak
-
Tag : Sabr
usī ko sauñp dī ham ne hifāzat apne ḳhemoñ kī
vo ādam-ḳhor jo lāshoñ kā byopārī rahā barsoñ
usi ko saunp di hum ne hifazat apne KHemon ki
wo aadam-KHor jo lashon ka byopari raha barson
guzrā thā apne shahr se rāvan fasād kā
zālim mohabbatoñ kī kathā.eñ bhī le gayā
guzra tha apne shahr se rawan fasad ka
zalim mohabbaton ki kathaen bhi le gaya
-
Tag : Shahr
Dar aur zulm kā yaaro koī ant nahīñ
ḳhud ko DhūñD rahe haiñ log ab rāvan meñ
Dar aur zulm ka yaro koi ant nahin
KHud ko DhunD rahe hain log ab rawan mein
ḳhud-farebī meñ mubtalā rakh kar
zulm kī tum ne intihā kī hai
KHud-farebi mein mubtala rakh kar
zulm ki tum ne intiha ki hai
-
Tag : Dhoka