kaun kahe ma.asūm hamārā bachpan thā
khel meñ bhī to aadhā aadhā āñgan thā
kaun kahe masum hamara bachpan tha
khel mein bhi to aadha aadha aangan tha
ik shajar aisā mohabbat kā lagāyā jaa.e
jis kā ham-sā.e ke āñgan meñ bhī saayā jaa.e
ek shajar aisa mohabbat ka lagaya jae
jis ka ham-sae ke aangan mein bhi saya jae
-
Tags : Peaceand 2 more
āñgan āñgan ḳhuun ke chhīñTe chehra chehra be-chehra
kis kis ghar kā zikr karūñ meñ kis kis ke sadmāt likhūñ
aangan aangan KHun ke chhinTe chehra chehra be-chehra
kis kis ghar ka zikr karun mein kis kis ke sadmat likhun
ḳhamoshī ke haiñ āñgan aur sannāTe kī dīvāreñ
ye kaise log haiñ jin ko gharoñ se Dar nahīñ lagtā
KHamoshi ke hain aangan aur sannaTe ki diwaren
ye kaise log hain jin ko gharon se Dar nahin lagta
-
Tag : Tanhai
phailte hue shahro apnī vahshateñ roko
mere ghar ke āñgan par āsmān rahne do
phailte hue shahro apni wahshaten roko
mere ghar ke aangan par aasman rahne do
hamāre ghar ke āñgan meñ sitāre bujh ga.e lākhoñ
hamārī ḳhvāb gāhoñ meñ na chamkā sub.h kā sūraj
hamare ghar ke aangan mein sitare bujh gae lakhon
hamari KHwab gahon mein na chamka subh ka suraj
baras rahī hai udāsī tamām āñgan meñ
vo rat-jagoñ kī havelī baḌe azaab meñ hai
baras rahi hai udasi tamam aangan mein
wo rat-jagon ki haweli baDe azab mein hai
palaT na jaa.eñ hamesha ko tere āñgan se
gudāz lamhoñ kī be-ḳhvāb āhaToñ se na ruuTh
palaT na jaen hamesha ko tere aangan se
gudaz lamhon ki be-KHwab aahaTon se na ruTh
-
Tags : Aahatand 1 more
jaane kis kirdār kī kaa.ī mere ghar meñ aa pahuñchī
ab to 'zafar' chalnā hai mushkil āñgan kī chiknā.ī meñ
jaane kis kirdar ki kai mere ghar mein aa pahunchi
ab to 'zafar' chalna hai mushkil aangan ki chiknai mein