kah rahe haiñ vo banā kar zulf ko
mujrimān-e-ishq kī zanjīr dekh
kah rahe hain wo bana kar zulf ko
mujriman-e-ishq ki zanjir dekh
-
Tags : Ishqand 1 more
shajar kī yaad rulātī hī thī magar ab to
jo āshiyāñ ke barābar thā vo qafas bhī gayā
shajar ki yaad rulati hi thi magar ab to
jo aashiyan ke barabar tha wo qafas bhi gaya
-
Tag : Shajar
qafas meñ rah ke na rote agar ye jānte ham
chaman meñ rah ke bhī ronā hai bāl-o-par ke liye
qafas mein rah ke na rote agar ye jaante hum
chaman mein rah ke bhi rona hai baal-o-par ke liye
-
Tags : Bebasiand 1 more
mujh se qafas kā darvāza kyā TūTegā
paañv paḌī zanjīr meñ khoī rahtī huuñ
mujh se qafas ka darwaza kya TuTega
panw paDi zanjir mein khoi rahti hun
-
Tag : Qafas
qaid-e-āvārgī-e-jāñ hī bahut hai mujh ko
ek dīvār mirī ruuh ke andar na banā
qaid-e-awargi-e-jaan hi bahut hai mujh ko
ek diwar meri ruh ke andar na bana
-
Tag : Soul
zindagānī asiir karne ko
gesuoñ kā ye jaal achchhā hai
zindagani asir karne ko
gesuon ka ye jal achchha hai
-
Tags : Zindagiand 1 more
gaah ho jaatā huuñ maiñ apnī anā kā qaidī
maiñ na aa.uuñ to phir aa kar mujhe chhuḌvā.egā
gah ho jata hun main apni ana ka qaidi
main na aaun to phir aa kar mujhe chhuDwaega
ḳhat-o-kākul-o-zulf-o-andāz-o-nāz
huiiñ dām-e-rah sad-giraftāriyāñ
KHat-o-kakul-o-zulf-o-andaz-o-naz
huin dam-e-rah sad-giraftariyan
-
Tags : Khatand 1 more
khīñchte ho har jānib kis liye lakīreñ sī
maiñ na koī rāvan huuñ maiñ na koī siitā huuñ
khinchte ho har jaanib kis liye lakiren si
main na koi rawan hun main na koi sita hun