Farhat Ehsas
Ghazal 152
Nazm 25
Sher-o-Shayari 91
Qita 1
BOOKS 299
Image Shayari 21
jo ishq chaahtaa hai vo honaa nahii.n hai aaj KHud ko bahaal karnaa hai khonaa nahii.n hai aaj aa.nkho.n ne dekhte hii use Gul machaa diyaa tai to yahii hu.aa thaa ki ronaa nahii.n hai aaj ye raat ahl-e-hijr ke KHvaabo.n kii raat hai qissa tamaam karnaa hai sonaa nahii.n hai aaj jo apne ghar me.n hai vo hai baazaar me.n nahii.n honaa kisii kaa shahr me.n honaa nahii.n hai aaj phir tifl-e-dil hai daulat-e-duniyaa pe girya-baar aur mere paas ko.ii khilaunaa nahii.n hai aaj
ab dil kii taraf dard kii yalGaar bahut hai duniyaa mire zaKHmo.n kii talabgaar bahut hai ab TuuT rahaa hai mirii hastii kaa tasavvur is vaqt mujhe tujh se sarokaar bahut hai miTTii kii ye diivaar kahii.n TuuT na jaa.e roko ki mire KHuun kii raftaar bahut hai har saa.ns ukha.D jaane kii koshish me.n pareshaa.n siine me.n ko.ii hai jo giraftaar bahut hai paanii se ulajhte hu.e insaan kaa ye shor us paar bhii hogaa magar is paar bahut hai
chaa.nd bhii hairaan dariyaa bhii pareshaanii me.n hai aks kis kaa hai ki itnii raushnii paanii me.n hai
eid KHushiyo.n kaa din sahii lekin ik udaasii bhii saath laatii hai zaKHm ubharte hai.n jaane kab kab ke jaane kis kis kii yaad aatii hai
raah kii kuchh to rukaavaT yaar kam kar diijiye aap apne ghar kii ik diivaar kam kar diijiye aap kaa aashiq bahut kamzor dil kaa hai huzuur dekhiye ye shiddat-e-inkaar kam kar diijiye mai.n bhii ho.nTo.n se kahuu.ngaa kam kare.n jalne kaa shauq aap agar sargarmii-e-ruKHsaar kam kar diijiye ek to sharm aap kii aur us pe takiya darmiyaa.n dono.n diivaaro.n me.n ik diivaar kam kar diijiye aap to bas kholiye lab bosa dene ke liye bosa dene par jo hai takraar kam kar diijiye raat ke pahluu me.n phailaa diijiye zulf-e-daraaz yuu.nhii kuchh tuul-e-sab-e-biimaar kam kar diijiye yaa idhar kuchh tez kar diije gharo.n kii raushnii yaa udhar kuchh raunaq-e-baazaar kam kar diijiye vo jo piichhe rah ga.e hai.n tez-raftaarii kare.n aap aage hai.n to kuchh raftaar kam kar diijiye haath me.n hai aap ke talvaar kiije qatl-e-aam haa.n magar talvaar kii kuchh dhaar kam kar diijiye bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jaan-e-man baaqii sab jazbaat kaa iz.haar kam kar diijiye shaa.irii tanhaa.ii kii raunaq hai mahfil kii nahii.n 'farhat-ehsaas' apnaa ye darbaar kam kar diijiye
Videos 16
Playing videos from section
Poet reciting own poetry

Rekhta presents Farhat Ehsaas, an eminent urdu poet from Delhi. The video is recorded and contributed by www.rekhta.org, an online repository of most comprehensive and most authentic collection of ghazals and other forms of urdu poetry. Farhat Ehsas
