Sher on Ada
Lovers are known for
acting in too many ways. Some of them are quite pleasant. Lovers’ looks, their shyness, coquetry, mischief etc. are the acts of love that please lovers. Even their movement, their smile, their way of speaking, or maintaining silence are the acts that engross the poets’ attention. You may experience these in this selection.
is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā
laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
is sadgi pe kaun na mar jae ai KHuda
laDte hain aur hath mein talwar bhi nahin
-
Tags : Famous shayariand 1 more
hayā se sar jhukā lenā adā se muskurā denā
hasīnoñ ko bhī kitnā sahl hai bijlī girā denā
how easy is for these maidens to make the lightening fall
haya se sar jhuka lena ada se muskura dena
hasinon ko bhi kitna sahl hai bijli gira dena
how easy is for these maidens to make the lightening fall
andāz apnā dekhte haiñ aa.ine meñ vo
aur ye bhī dekhte haiñ koī dekhtā na ho
looking in the mirror she sees her savoir-faire
and also looks to see no one is peeping there
andaz apna dekhte hain aaine mein wo
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho
looking in the mirror she sees her savoir-faire
and also looks to see no one is peeping there
ye jo sar nīche kiye baiThe haiñ
jaan kitnoñ kī liye baiThe haiñ
ye jo sar niche kiye baiThe hain
jaan kitnon ki liye baiThe hain
pahle is meñ ik adā thī naaz thā andāz thā
rūThnā ab to tirī aadat meñ shāmil ho gayā
pahle is mein ek ada thi naz tha andaz tha
ruThna ab to teri aadat mein shamil ho gaya
aap ne tasvīr bhejī maiñ ne dekhī ġhaur se
har adā achchhī ḳhamoshī kī adā achchhī nahīñ
aap ne taswir bheji main ne dekhi ghaur se
har ada achchhi KHamoshi ki ada achchhi nahin
aafat to hai vo naaz bhī andāz bhī lekin
martā huuñ maiñ jis par vo adā aur hī kuchh hai
aafat to hai wo naz bhi andaz bhi lekin
marta hun main jis par wo ada aur hi kuchh hai
adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
-
Tags : Diland 2 more
adā aa.ī jafā aa.ī ġhurūr aayā hijāb aayā
hazāroñ āfateñ le kar hasīnoñ par shabāb aayā
ada aai jafa aai ghurur aaya hijab aaya
hazaron aafaten le kar hasinon par shabab aaya
gul ho mahtāb ho ā.īna ho ḳhurshīd ho miir
apnā mahbūb vahī hai jo adā rakhtā ho
gul ho mahtab ho aaina ho KHurshid ho mir
apna mahbub wahi hai jo ada rakhta ho
adā.eñ dekhne baiThe ho kyā ā.īne meñ apnī
diyā hai jis ne tum jaise ko dil us kā jigar dekho
adaen dekhne baiThe ho kya aaine mein apni
diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho
zamāna husn nazākat balā jafā shoḳhī
simaT ke aa ga.e sab aap kī adāoñ meñ
zamana husn nazakat bala jafa shoKHi
simaT ke aa gae sab aap ki adaon mein
is adā se mujhe salām kiyā
ek hī aan meñ ġhulām kiyā
is ada se mujhe salam kiya
ek hi aan mein ghulam kiya
saath shoḳhī ke kuchh hijāb bhī hai
is adā kā kahīñ javāb bhī hai
sath shoKHi ke kuchh hijab bhi hai
is ada ka kahin jawab bhi hai
kare hai adāvat bhī vo is adā se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai
kare hai adawat bhi wo is ada se
lage hai ki jaise mohabbat kare hai
-
Tags : Dushmaniand 1 more
umr bhar milne nahīñ detī haiñ ab to ranjisheñ
vaqt ham se ruuTh jaane kī adā tak le gayā
umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen
waqt hum se ruTh jaane ki ada tak le gaya
-
Tags : Dushmaniand 1 more
ḳhūb-rū haiñ saikḌoñ lekin nahīñ terā javāb
dilrubā.ī meñ adā meñ naaz meñ andāz meñ
KHub-ru hain saikDon lekin nahin tera jawab
dilrubai mein ada mein naz mein andaz mein
parda-e-lutf meñ ye zulm-o-sitam kyā kahiye
haa.e zālim tirā andāz-e-karam kyā kahiye
parda-e-lutf mein ye zulm-o-sitam kya kahiye
hae zalim tera andaz-e-karam kya kahiye
vo kuchh muskurānā vo kuchh jheñp jaanā
javānī adā.eñ sikhātī haiñ kyā kyā
wo kuchh muskurana wo kuchh jhenp jaana
jawani adaen sikhati hain kya kya
tanhā vo aa.eñ jaa.eñ ye hai shaan ke ḳhilāf
aanā hayā ke saath hai jaanā adā ke saath
tanha wo aaen jaen ye hai shan ke KHilaf
aana haya ke sath hai jaana ada ke sath
barq ko abr ke dāman meñ chhupā dekhā hai
ham ne us shoḳh ko majbūr-e-hayā dekhā hai
hidden midst the clouds, lightning I did see
that sprite was today subdued by modesty
barq ko abr ke daman mein chhupa dekha hai
hum ne us shoKH ko majbur-e-haya dekha hai
hidden midst the clouds, lightning I did see
that sprite was today subdued by modesty
-
Tag : Haya
lagāvaT kī adā se un kā kahnā paan hāzir hai
qayāmat hai sitam hai dil fidā hai jaan hāzir hai
lagawaT ki ada se un ka kahna pan hazir hai
qayamat hai sitam hai dil fida hai jaan hazir hai
ye adā.eñ ye ishāre ye hasīñ qaul-o-qarār
kitne ādāb ke parde meñ hai inkār kī baat
ye adaen ye ishaare ye hasin qaul-o-qarar
kitne aadab ke parde mein hai inkar ki baat
maar Daalā muskurā kar naaz se
haañ mirī jaañ phir usī andāz se
mar Dala muskura kar naz se
han meri jaan phir usi andaz se
zālim ne kyā nikālī raftār rafta rafta
is chaal par chalegī talvār rafta rafta
zalim ne kya nikali raftar rafta rafta
is chaal par chalegi talwar rafta rafta
be-ḳhud bhī haiñ hoshiyār bhī haiñ dekhne vaale
in mast nigāhoñ kī adā aur hī kuchh hai
be-KHud bhi hain hoshiyar bhi hain dekhne wale
in mast nigahon ki ada aur hi kuchh hai
-
Tag : Nigaah
jaam le kar mujh se vo kahtā hai apne muñh ko pher
rū-ba-rū yuuñ tere mai piine se sharmāte haiñ ham
jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum
-
Tags : Maikashiand 2 more
adā adā tirī mauj-e-sharāb ho ke rahī
nigāh-e-mast se duniyā ḳharāb ho ke rahī
ada ada teri mauj-e-sharab ho ke rahi
nigah-e-mast se duniya KHarab ho ke rahi
-
Tag : Nigaah
banāvaT vaz.a-dārī meñ ho yā be-sāḳhta-pan meñ
hameñ andāz vo bhātā hai jis meñ kuchh adā nikle
banawaT waza-dari mein ho ya be-saKHta-pan mein
hamein andaz wo bhata hai jis mein kuchh ada nikle
bole vo muskurā ke bahut iltijā ke ba.ad
jī to ye chāhtā hai tirī maan jā.iye
bole wo muskura ke bahut iltija ke baad
ji to ye chahta hai teri man jaiye
phuul kah dene se afsurda koī hotā hai
sab adā.eñ tirī achchhī haiñ nazākat ke sivā
phul kah dene se afsurda koi hota hai
sab adaen teri achchhi hain nazakat ke siwa
pāmāl kar ke pūchhte haiñ kis adā se vo
is dil meñ aag thī mire talve jhulas ga.e
pamal kar ke puchhte hain kis ada se wo
is dil mein aag thi mere talwe jhulas gae
kuchh is adā se mohabbat-shanās honā hai
ḳhushī ke baab meñ mujh ko udaas honā hai
kuchh is ada se mohabbat-shanas hona hai
KHushi ke bab mein mujh ko udas hona hai
-
Tag : Khushi
ai tarah-dār-e-ishva-tarāz-e-dayār-e-nāz
ruḳhsat huā huuñ tere liye dil-galī se maiñ
ai tarah-dar-e-ishwa-taraaz-e-dayar-e-naz
ruKHsat hua hun tere liye dil-gali se main