Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhtar Muslimi's Photo'

Akhtar Muslimi

1928 - 1989 | Azamgarh, India

Poet known for his deeper understanding of tradition

Poet known for his deeper understanding of tradition

Sher of Akhtar Muslimi

1.5K
Favorite

SORT BY

insāf ke parde meñ ye kyā zulm hai yaaro

dete ho sazā aur ḳhatā aur kuchh hai

insaf ke parde mein ye kya zulm hai yaro

dete ho saza aur KHata aur hi kuchh hai

mujh ko manzūr nahīñ ishq ko rusvā karnā

hai jigar chaak magar lab pe hañsī hai ai dost

mujh ko manzur nahin ishq ko ruswa karna

hai jigar chaak magar lab pe hansi hai ai dost

sun ke rūdād-e-alam merī vo hañs kar bole

aur bhī koī fasāna hai tumheñ yaad ki bas

sun ke rudad-e-alam meri wo hans kar bole

aur bhi koi fasana hai tumhein yaad ki bas

vafā karo jafā mile bhalā karo burā mile

hai riit desh desh chalan chalan baat hai

wafa karo jafa mile bhala karo bura mile

hai rit desh desh ki chalan chalan ki baat hai

mire dil pe haath rakh kar mujhe dene vaale taskīñ

kahīñ dil dhaḌkanoñ se tujhe choT aa na jaa.e

mere dil pe hath rakh kar mujhe dene wale taskin

kahin dil ki dhaDkanon se tujhe choT aa na jae

haañ ye bhī tarīqa achchhā hai tum ḳhvāb meñ milte ho mujh se

aate bhī nahīñ ġham-ḳhāne tak va.ada bhī vafā ho jaatā hai

han ye bhi tariqa achchha hai tum KHwab mein milte ho mujh se

aate bhi nahin gham-KHane tak wada bhi wafa ho jata hai

fareb-ḳhurda hai itnā ki mere dil ko abhī

tum aa chuke ho magar intizār baaqī hai

fareb-KHurda hai itna ki mere dil ko abhi

tum aa chuke ho magar intizar baqi hai

jo bā-ḳhabar the vo dete rahe fareb mujhe

tirā pata jo milā ek be-ḳhabar se milā

jo ba-KHabar the wo dete rahe fareb mujhe

tera pata jo mila ek be-KHabar se mila

us ne mujh ko jurm-e-mohabbat vo sazā

kuchh be-qusūr log sazā māñgne lage

di us ne mujh ko jurm-e-mohabbat ki wo saza

kuchh be-qusur log saza mangne lage

rah-e-vafā meñ luTā kar matā-e-qalb-o-jigar

kiyā hai terī mohabbat haq adā maiñ ne

rah-e-wafa mein luTa kar mata-e-qalb-o-jigar

kiya hai teri mohabbat ka haq ada main ne

iqrār-e-mohabbat to baḌī baat hai lekin

inkār-e-mohabbat adā aur kuchh hai

iqrar-e-mohabbat to baDi baat hai lekin

inkar-e-mohabbat ki ada aur hi kuchh hai

tumhārī bazm yuuñ aabrū baḌhā ke chale

piye baġhair ham paañv laḌkhaḌā ke chale

tumhaari bazm ki yun aabru baDha ke chale

piye baghair hi hum panw laDkhaDa ke chale

har shāḳh-e-chaman hai afsurda har phuul chehra pazhmurda

āġhāz jab aisā hai to phir anjām-e-bahārāñ kyā hogā

har shaKH-e-chaman hai afsurda har phul ka chehra pazhmurda

aaghaz hi jab aisa hai to phir anjam-e-bahaaran kya hoga

ek anjām hai ai dost husn o ishq

sham.a bhī bujhtī hai parvānoñ ke jal jaane ke ba.ad

ek hi anjam hai ai dost husn o ishq ka

shama bhi bujhti hai parwanon ke jal jaane ke baad

sabr-o-qarār-e-dil mire jaane kahāñ chale ga.e

bichhḌe hue na phir mile aise hue judā ki bas

sabr-o-qarar-e-dil mere jaane kahan chale gae

bichhDe hue na phir mile aise hue juda ki bas

dehāt ke basne vaale to iḳhlās ke paikar hote haiñ

ai kaash na.ī tahzīb rau shahroñ se na aatī gaañv meñ

dehat ke basne wale to iKHlas ke paikar hote hain

ai kash nai tahzib ki rau shahron se na aati ganw mein

lazzat-e-dard milī jurm-e-mohabbat meñ use

vo sazā paa.ī hai dal ne ki ḳhatā jhuum uThī

lazzat-e-dard mili jurm-e-mohabbat mein use

wo saza pai hai dal ne ki KHata jhum uThi

us ko bhaḌkāo na dāman havā.eñ de kar

sho.ala-e-ishq mire dil meñ dabā rahne do

us ko bhaDkao na daman ki hawaen de kar

shoala-e-ishq mere dil mein daba rahne do

ḳhushī shart nahīñ lutf-e-zindagī ke liye

matā-e-ġham bhī zarūrī hai aadmī ke liye

KHushi hi shart nahin lutf-e-zindagi ke liye

mata-e-gham bhi zaruri hai aadmi ke liye

ashk vo hai jo rahe aañkh meñ gauhar ban kar

aur TuuTe to bikhar jaa.e nagīnoñ tarah

ashk wo hai jo rahe aankh mein gauhar ban kar

aur TuTe to bikhar jae naginon ki tarah

thiiñ tumhārī jis pe navāzisheñ kabhī tum bhī jis pe the mehrbāñ

ye vahī hai 'aḳhtar'-e-muslimī tumheñ yaad ho ki na yaad ho

thin tumhaari jis pe nawazishen kabhi tum bhi jis pe the mehrban

ye wahi hai 'aKHtar'-e-muslimi tumhein yaad ho ki na yaad ho

kuchh is tarah ke bahāroñ ne gul khilā.e haiñ

ki ab to fasl-e-bahārāñ se Dar lage hai mujhe

kuchh is tarah ke bahaaron ne gul khilae hain

ki ab to fasl-e-bahaaran se Dar lage hai mujhe

ajiib uljhan meñ ne Daalā mujhe bhī ai gardish-e-zamāna

sukūn miltā nahīñ qafas meñ na raas aatā hai āshiyāna

ajib uljhan mein tu ne Dala mujhe bhi ai gardish-e-zamana

sukun milta nahin qafas mein na ras aata hai aashiyana

mere kirdār meñ muzmar hai tumhārā kirdār

dekh kar kyuuñ mirī tasvīr ḳhafā ho tum log

mere kirdar mein muzmar hai tumhaara kirdar

dekh kar kyun meri taswir KHafa ho tum log

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now