Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhtar Orenvi's Photo'

Akhtar Orenvi

1911 - 1977 | Munger, India

Prominent critic, scholar, fiction writer and poet also known for his romantic poetry.

Prominent critic, scholar, fiction writer and poet also known for his romantic poetry.

Sher of Akhtar Orenvi

na mizāj-e-nāz-e-jalva kabhī sakīñ nigāheñ

ki ulajh ke rah ga.ī haiñ tirī zulf-e-ḳham-ba-ḳham meñ

na mizaj-e-naz-e-jalwa kabhi pa sakin nigahen

ki ulajh ke rah gai hain teri zulf-e-KHam-ba-KHam mein

maiñ muntazir huuñ terī tamannā liye hue

aa faroġh-e-husn duniyā liye hue

main muntazir hun teri tamanna liye hue

aa ja farogh-e-husn ki duniya liye hue

junūñ bhī zahmat ḳhirad bhī la.anat hai zaḳhm-e-dil davā mohabbat

harīm-e-jāñ meñ tavāf-e-paiham yahī hai andāz-e-āshiqāna

junun bhi zahmat KHirad bhi lanat hai zaKHm-e-dil ki dawa mohabbat

harim-e-jaan mein tawaf-e-paiham yahi hai andaz-e-ashiqana

kitne tābāñ the vo lamhāt tire pahlū meñ

do ghaḌī merī bhī firdaus minā guzrī hai

kitne taban the wo lamhat tere pahlu mein

do ghaDi meri bhi firdaus mina guzri hai

mirī aarzū taskīñ na karam meñ ne sitam meñ

mirā dil mudām tishna tirī rah ke pech-o-ḳham meñ

meri aarzu ki taskin na karam mein ne sitam mein

mera dil mudam tishna teri rah ke pech-o-KHam mein

Recitation

Speak Now