Sher of Asghar Velori
tire mahal meñ hazāroñ charāġh jalte haiñ
ye merā ghar hai yahāñ dil ke daaġh jalte haiñ
tere mahal mein hazaron charagh jalte hain
ye mera ghar hai yahan dil ke dagh jalte hain
shikār apnī anā kā hai aaj kā insāñ
jise bhī dekhiye tanhā dikhā.ī detā hai
shikar apni ana ka hai aaj ka insan
jise bhi dekhiye tanha dikhai deta hai
log achchhoñ ko bhī kis dil se burā kahte haiñ
ham ko kahne meñ buroñ ko bhī burā lagtā hai
log achchhon ko bhi kis dil se bura kahte hain
hum ko kahne mein buron ko bhi bura lagta hai
duniyā se ḳhatm ho gayā insān kā vajūd
rahnā paḌā hai ham ko darindoñ ke darmiyāñ
duniya se KHatm ho gaya insan ka wajud
rahna paDa hai hum ko darindon ke darmiyan
raushnī jab se mujhe chhoḌ ga.ī
sham.a rotī hai sirhāne mere
raushni jab se mujhe chhoD gai
shama roti hai sirhane mere
un ke hāthoñ se milā thā pī liyā
zahr thā par zā.iqa achchhā lagā
un ke hathon se mila tha pi liya
zahr tha par zaiqa achchha laga
mujh ko ġham kā na kabhī dard kā ehsās rahā
har ḳhushī paas thī jab tak tū mire paas rahā
mujh ko gham ka na kabhi dard ka ehsas raha
har KHushi pas thi jab tak tu mere pas raha
ai chāragaro paas tumhāre na milegī
bīmār-e-mohabbat kī davā aur hī kuchh hai
ai chaaragaro pas tumhaare na milegi
bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai
khilnā har ek phuul kā 'asġhar' hai mo.ajaza
murjhātī hai kalī bhī bahāroñ ke darmiyāñ
khilna har ek phul ka 'asghar' hai moajaza
murjhati hai kali bhi bahaaron ke darmiyan
jitnā ronā thā ro chuke aadam
aur ro.egā aadmī kab tak
jitna rona tha ro chuke aadam
aur roega aadmi kab tak
paḌhte the kitāboñ meñ qayāmat kā samāñ
nepal meñ kuchh is kā namūna dekhā
paDhte the kitabon mein qayamat ka saman
nepal mein kuchh is ka namuna dekha
tū ne ab tak jise nahīñ samjhā
aur phir us kī bandagī kab tak
tu ne ab tak jise nahin samjha
aur phir us ki bandagi kab tak
zindagī se samjhautā aaj ho gayā kaise
roz roz to aise sānehe nahīñ hote
zindagi se samjhauta aaj ho gaya kaise
roz roz to aise sanehe nahin hote