Sher of Ashhar Hashmi
tirā ġhurūr jhuk ke jab milā mire vajūd se
na jaane merī kamtarī kā chehra kyuuñ utar gayā
tera ghurur jhuk ke jab mila mere wajud se
na jaane meri kamtari ka chehra kyun utar gaya
merī duniyā meñ samundar kā kahīñ naam nahīñ
phir ghaTā pheñktī hai mujh pe ye patthar kaise
meri duniya mein samundar ka kahin nam nahin
phir ghaTa phenkti hai mujh pe ye patthar kaise
vahīñ ke pattharoñ se pūchh merā hāl-e-zindagī
maiñ reza reza ho ke jis dayār meñ bikhar gayā
wahin ke pattharon se puchh mera haal-e-zindagi
main reza reza ho ke jis dayar mein bikhar gaya
rahguzar bhī tirī pahle thī ajnabī
har galī ab tirī rahguzar ho ga.ī
rahguzar bhi teri pahle thi ajnabi
har gali ab teri rahguzar ho gai
us se milne kī talab meñ jī liye kuchh aur din
vo bhī ḳhud biite dinoñ se bar-sar-e-paikār thī
us se milne ki talab mein ji liye kuchh aur din
wo bhi KHud bite dinon se bar-sar-e-paikar thi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī karnā vo mushkil fan hai 'ash.har' hāshmī
jaise ki chalnā paḌe bijlī ke nañge taar par
zindagi karna wo mushkil fan hai 'ashhar' hashmi
jaise ki chalna paDe bijli ke nange tar par
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'ash.har' kahīñ qarīb hī tārīk ġhaar hai
jugnū kī raushnī ko vahīñ chal ke chhoḌ deñ
'ashhar' kahin qarib hi tarik ghaar hai
jugnu ki raushni ko wahin chal ke chhoD den