Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Baharunnisa Bahar's Photo'

Baharunnisa Bahar

Multan, Pakistan

Sher of Baharunnisa Bahar

ye zaḳhm-e-anā kaafī hai ai yūsuf-e-daurāñ

is chashm-e-zuleḳhā ko ġhamnāk na karnā

ye zaKHm-e-ana kafi hai ai yusuf-e-dauran

is chashm-e-zuleKHa ko tu ghamnak na karna

munjamid ho zindagī meñ jab kabhī shahr-e-ḳhayāl

phir charāġh-e-dil se us ko jagmagānā chāhiye

munjamid ho zindagi mein jab kabhi shahr-e-KHayal

phir charagh-e-dil se us ko jagmagana chahiye

vīrān zindagī ke ye lamhe ajiib haiñ

bazm-e-tarab meñ dhuum hai furqat dhamāl se

viran zindagi ke ye lamhe ajib hain

bazm-e-tarab mein dhum hai furqat dhamal se

ghāyal vajūd soch baisākhiyāñ liye

milne chalā hai guzre hue māh-o-sāl se

ghayal wajud soch ki baisakhiyan liye

milne chala hai guzre hue mah-o-sal se

harf saare bol uTTheñ jab bhī maiñ likhne lagūñ

ab koī jazba mirā mahv-e-duā lagtā nahīñ

harf sare bol uTThen jab bhi main likhne lagun

ab koi jazba mera mahw-e-dua lagta nahin

ashk ke abr-e-ravāñ meñ DhūñDhtī huuñ maiñ tujhe

aas in titliyoñ ko bhī Thikānā chāhiye

ashk ke abr-e-rawan mein DhunDhti hun main tujhe

aas ki in titliyon ko bhi Thikana chahiye

havā hai ret hai dasht-e-vafā hai

rutoñ ko aatā jaatā dekhtī huuñ

hawa hai ret hai dasht-e-wafa hai

ruton ko aata jata dekhti hun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now