Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bhagwan Das Ejaz's Photo'

Bhagwan Das Ejaz

1932 - 2020 | Delhi, India

Famous poet, known for his Dohas

Famous poet, known for his Dohas

Dohe of Bhagwan Das Ejaz

1.8K
Favorite

SORT BY

aksmāt hone lagī phūloñ barsāt

jab sīmā.eñ pyaar TūTeñ aadhī raat

aksmat hone lagi phulon ki barsat

jab simaen pyar ki TuTen aadhi raat

ham is ghar meñ haiñ ghire jis ke aañkh na kaan

nikal bhāgnā bhī kaThin dāñtoñ biich zabān

hum is ghar mein hain ghire jis ke aankh na kan

nikal bhagna bhi kaThin danton bich zaban

ḳhud apnī maut bāñdhe hai sāmān

anjāne haiñ rāste raahī hai nādān

KHud hi apni maut ka bandhe hai saman

anjaane hain raste rahi hai nadan

jal ga.ī apnī aag se jangal sab ghaas

dhartī tab dul.han bane jab ho sāvan maas

jal gai apni aag se jangal ki sab ghas

dharti tab dulhan bane jab ho sawan mas

haañ bha.ī vo bhī thā samay bhole bhāle log

sunte the ki raat meñ chiḌiyā chugtī chog

han bhai wo bhi tha samay bhole bhaale log

sunte the ki raat mein chiDiya chugti chog

manzil se saa.e tarah pīchhe pīchhe jaa.e

khule kivāḌoñ jab koī apnā dar khaTkā.e

manzil se sae ki tarah pichhe pichhe jae

khule kiwaDon jab koi apna dar khaTkae

kaThin raah upkār itnā rahe ḳhayāl

pagḌī zarā bhuul par dete log uchhāl

kaThin rah upkar ki itna rahe KHayal

pagDi zara si bhul par dete log uchhaal

dosh parā.e sar maḌhe bhītar bāhar ro.e

har koī apnī raah meñ aap kāñTe bo.e

dosh parae sar maDhe bhitar bahar roe

har koi apni rah mein aap hi kanTe boe

shahnā.ī jab kahīñ kaan paḌe āvāz

jal bin machhlī tarah taḌap uThe 'ejāz'

shahnai ki jab kahin kan paDe aawaz

jal bin machhli ki tarah taDap uThe 'ejaz'

uupar kar kaT gayā maiñ patang mānind

utrā jaise aañkh meñ koī motiyābind

upar ja kar kaT gaya main patang manind

utra jaise aankh mein koi motiyabind

lagī aatmā kosne Dasne lagā ḳhayāl

kyoñ duuje ke dosh ko itnā diyā uchhāl

lagi aatma kosne Dasne laga KHayal

kyon duje ke dosh ko itna diya uchhaal

kaan pakaḌ tauba kiye aisī bakrī paal

duudh diyā so kyā diyā diyā meñgnī Daal

kan pakaD tauba kiye aisi bakri pal

dudh diya so kya diya diya meingni Dal

daġhābāz makkār ke aur dekh andāz

haañ rassī to jal ga.ī ga.e na bal 'ejāz'

daghabaz makkar ke aur dekh andaz

han rassi to jal gai gae na bal 'ejaz'

āsmān par chhā ga.ī ghaTā ghūr-ghangor

jaa.eñ to jaa.eñ kahāñ vīrāne meñ shor

aasman par chha gai ghaTa ghur-ghangor

jaen to jaen kahan virane mein shor

kahīñ tujhe lag jaa.e na pardesan haa.e

aa sājan ab lauT ke sāvan biitā jaa.e

kahin tujhe lag jae na pardesan ki hae

aa sajan ab lauT ke sawan bita jae

so sone de mujhe mat kar niiñd ḳharāb

daane apnī gāñTh ke binā bhuuk mat chaab

so ja sone de mujhe mat kar nind KHarab

dane apni ganTh ke bina bhuk mat chab

merī ardhāñginī maiñ ne saugandh

aañsū Tapke pyaar ke kar āñkheñ band

tu meri ardhangini li main ne saugandh

aansu Tapke pyar ke kar li aankhen band

begānoñ se kyā gila ghar meñ hai ġhaddār

ās-pās rakhiye nazar āñkheñ rakhiye chaar

beganon se kya gila ghar mein hai ghaddar

aas-pas rakhiye nazar aankhen rakhiye chaar

jo dekhā samjhā sunā ġhalat rahā mīzān

aur nikaT aa zindagī ho terī pahchān

jo dekha samjha suna ghalat raha mizan

aur nikaT aa zindagi ho teri pahchan

sakhī bahut ole paḌe barkhā ke uprānt

huī na kam birhā agan tan-man aur ashānt

sakhi bahut ole paDe barkha ke uprant

hui na kam birha agan tan-man aur ashant

ham jag meñ kaise rahe zarā dījiye dhyān

raat guzārī jis tarah dushman-ghar mehmān

hum jag mein kaise rahe zara dijiye dhyan

raat guzari jis tarah dushman-ghar mehman

mausam achchhā hai ise aur achchhā kar yaar

bole chehra dekh kar abhī nahīñ āsār

mausam achchha hai ise aur achchha kar yar

bole chehra dekh kar abhi nahin aasar

jugnū chamke aas ke ujlī ho ga.ī shaam

panchhī un ke gaañv se laayā hai paiġhām

jugnu chamke aas ke ujli ho gai sham

panchhi un ke ganw se laya hai paigham

bhītar kyā kyā ho rahā ai dil kuchh to bol

ek aañkh ro.e bahut ek hañse khol

bhitar kya kya ho raha ai dil kuchh to bol

ek aankh roe bahut ek hanse ji khol

tham re badrā karūñ terī jai-jai-kār

ghar aaveñ to baras baras mūslā-dhār

tham ja re badra karun teri jai-jai-kar

pi ghar aawen to baras baras musla-dhaar

kahne lage ab aa.iye sar par hai tyauhār

ghar merā nazdīk hai tāroñ ke us paar

kahne lage ab aaiye sar par hai tyauhaar

ghar mera nazdik hai taron ke us par

mar ga.ī maare laaj ke pūchhā toḌā maun

chūhoñ ko bil khodnā sikhlātā hai kaun

mar gai mare laj ke puchha toDa maun

chuhon ko bil khodna sikhlata hai kaun

vo nirlajj nirda.ī mujhe samjhe dhobī ghaaT

hāthī nāche khaaT pe khaaT paḌe chaupāT

wo nirlajj nirdai mujhe samjhe dhobi ghaT

hathi nache khaT pe khaT paDe chaupaT

mahā-nagar meñ aan ke bhūle duā-salām

ham-sāya jaane nahīñ hamsā.e naam

maha-nagar mein aan ke bhule dua-salam

ham-saya jaane nahin hamsae ka nam

abhī milan ko sājnā din biite chaar

siine par rakh kar shilā do din aur guzār

abhi milan ko sajna din na bite chaar

sine par rakh kar shila do din aur guzar

duniyā thak ga.ī pūchhte rahe sadā ham maun

samjhegā tere sivā man bhāshā kaun

duniya thak gai puchhte rahe sada hum maun

samjhega tere siwa man ki bhasha kaun

vo chanchal kal shaam ko liye haath meñ haath

lok laaj ko tyaag kar nāchī mere saath

wo chanchal kal sham ko liye hath mein hath

lok laj ko tyag kar nachi mere sath

siine ke bal reñg kar sīmā.eñ kiiñ paar

maiñ baunoñ ke gaañv se guzrā pahlī baar

sine ke bal reng kar simaen kin par

main baunon ke ganw se guzra pahli bar

pyāse hoñToñ ko milī ThanDī havā se aañch

do jismoñ aañch se lagā pighalne kāñch

pyase honTon ko mili ThanDi hawa se aanch

do jismon ki aanch se laga pighalne kanch

duniyā se ojhal rahe liyā labāda oḌh

saare tan par chhā gayā man kaalā koḌh

duniya se ojhal rahe liya labaada oDh

sare tan par chha gaya man ka kala koDh

maalā japtā naam vo dīvāna shaam

achchhā lage pukārtā miirā miirā naam

mala japta nam ki wo diwana sham

achchha lage pukarta mera mera nam

kahīñ gagan ke paar huuñ kahīñ bech pātāl

mere chāroñ or hai tasvīroñ jaal

kahin gagan ke par hun kahin bech patal

mere chaaron or hai taswiron ka jal

hogī ik din ghar mire phūloñ barsāt

maiñ paglā is aas meñ hañstā huuñ din raat

hogi ek din ghar mere phulon ki barsat

main pagla is aas mein hansta hun din raat

bāteñ hoñgī pyaar milā aaj ekānt

nain utāreñ aartī man sanshay shānt

baaten hongi pyar ki mila aaj ekant

nain utaren aarti man ka sanshay shant

jhoñkī totā-chashm ne mirī aañkh meñ dhuul

band lifāfe meñ mujhe us ne bheje shuul

jhonki tota-chashm ne meri aankh mein dhul

band lifafe mein mujhe us ne bheje shul

nain chain mausam samāñ sab kuchh letā chhīn

ye ghar apnā hai hameñ hotā nahīñ yaqīn

nain chain mausam saman sab kuchh leta chhin

ye ghar apna hai hamein hota nahin yaqin

man apnā bahrūpiyā dhāre kitne ruup

naTkhaT pahchāne nahīñ chaḌhtī Dhaltī dhuup

man apna bahrupiya dhaare kitne rup

naTkhaT pahchane nahin chaDhti Dhalti dhup

abhī lifāfa band thā paḌhtā kartā ġhaur

jo bhejā gum ho gayā likho ek ḳhat aur

abhi lifafa band tha paDhta karta ghaur

jo bheja gum ho gaya likho ek KHat aur

jogī aaya dvaar par ḳhālī lauTā kaal

rogī maaTī chaaT kar uTh baiThā tatkāl

jogi aaya dwar par KHali lauTa kal

rogi maTi chaT kar uTh baiTha tatkal

bhāñDā sab ke sāmne diyā bhaag ne chhoḌ

ole apne ghar paḌe barkhā chāroñ aur

bhanDa sab ke samne diya bhag ne chhoD

ole apne ghar paDe barkha chaaron aur

nākoñ chabvā.e chane ham ne kitnī baar

ham-sāya be-sharm hai jab dekho tayyār

nakon chabwae chane hum ne kitni bar

ham-saya be-sharm hai jab dekho tayyar

raat bitā.eñge vahīñ aa.e the man Thaan

tum kah kar to dekhte ham jhaT jaate maan

raat bitaenge wahin aae the man Than

tum kah kar to dekhte hum jhaT jate man

aaj mujhī par khul gayā mere dil raaz

aa.ī hai hañste samay rone āvāz

aaj mujhi par khul gaya mere dil ka raaz

aai hai hanste samay rone ki aawaz

Dhig Dhalān rasta vikaT sāvdhān anjān

gaaḌī terī kāñch hai lohe sāmān

Dhig Dhalan rasta wikaT sawdhan anjaan

gaDi teri kanch ki hai lohe ka saman

mujhe thamā kar jhunjhunā log le ga.e maal

bhal-mansā.ī meñ rahe ham Than-Than gopāl

mujhe thama kar jhunjhuna log le gae mal

bhal-mansai mein rahe hum Than-Than gopal

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now