Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Daood Mohsin's Photo'

Daood Mohsin

1962 | Davanagere, India

One of the contemporary short story writers

One of the contemporary short story writers

Sher of Daood Mohsin

355
Favorite

SORT BY

har ek shaam sañvar jā.egī mirī 'mohsin'

har ek baat tumhārī hai shā.irī tarah

har ek sham sanwar jaegi meri 'mohsin'

har ek baat tumhaari hai shairi ki tarah

nahīñ hai paas kisī kisī ko ai 'mohsin'

ki aazmā ki unheñ baar baar dekhā hai

nahin hai pas kisi ka kisi ko ai 'mohsin'

ki aazma ki unhen bar bar dekha hai

zindagī TuuT ke bikhrī hai sar-e-rāh abhī

hādisa kahiye ise ki tamāshā kahiye

zindagi TuT ke bikhri hai sar-e-rah abhi

hadisa kahiye ise ya ki tamasha kahiye

itne fareb khaa.e haiñ qurbat meñ yaar

'mohsin' fareb aur bhī khāyā na jā.egā

itne fareb khae hain qurbat mein yar ki

'mohsin' fareb aur bhi khaya na jaega

kaun apnā hai yahāñ kaun parāyā kahiye

kaun detā hai bhalā dukh meñ sahārā kahiye

kaun apna hai yahan kaun paraya kahiye

kaun deta hai bhala dukh mein sahaara kahiye

maiñ chāhtā huuñ tumheñ apnī zindagī tarah

mire vajūd pe chhā jaao chāñdnī tarah

main chahta hun tumhein apni zindagi ki tarah

mere wajud pe chha jao chandni ki tarah

afsāna dard-o-ġham sunāyā na jā.egā

ab zaḳhm-e-dil kisī ko dikhāyā na jā.egā

afsana dard-o-gham ka sunaya na jaega

ab zaKHm-e-dil kisi ko dikhaya na jaega

baat tere naam hone lagī

dil meñ mere sansanī hone lagī

baat tere nam ki hone lagi

dil mein mere sansani hone lagi

sāre-jahāñ meñ qisse ye mash.hūr ho ga.e

bhaa.ī hamāre munkir-e-dastūr ho ga.e

sare-jahan mein qisse ye mashhur ho gae

bhai hamare munkir-e-dastur ho gae

masnadeñ taḳht-o-tāj dastāreñ

kaun kis ke liye luTāte haiñ

masnaden taKHt-o-taj dastaren

kaun kis ke liye luTate hain

har taraf dard aahoñ samāñ hotā hai

paanī jaltā hai samundar meñ dhuāñ hotā hai

har taraf dard ka aahon ka saman hota hai

pani jalta hai samundar mein dhuan hota hai

zabt thī shart dil se jaane kyuuñ

lamha lamha bekalī hone lagī

zabt ki thi shart dil se jaane kyun

lamha lamha bekali hone lagi

rafāqatoñ jahāñ tār-tār dekhā hai

vajūd-e-zīst uḌtā ġhubār dekhā hai

rafaqaton ka jahan tar-tar dekha hai

wajud-e-zist ka uDta ghubar dekha hai

lamha lamha pukāre jaate haiñ

kaun dil ke qarīb aate haiñ

lamha lamha pukare jate hain

kaun dil ke qarib aate hain

zaḳhm-e-dil dāġh-e-jigar dāġh-e-tamannā qasam

chāñd se phuul se Dar ham ko yahāñ hotā hai

zaKHm-e-dil dagh-e-jigar dagh-e-tamanna ki qasam

chand se phul se Dar hum ko yahan hota hai

kitnā ajīb-tar hai aqīda janāb

patthar mūratoñ se vafā maañg rahe ho

kitna ajib-tar hai aqida janab ka

patthar ki muraton se wafa mang rahe ho

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now