Sher of Faheem Jogapuri
vāqif kahāñ zamāna hamārī uḌaan se
vo aur the jo haar ga.e āsmān se
waqif kahan zamana hamari uDan se
wo aur the jo haar gae aasman se
rah ga.ī hai kuchh kamī to kyā shikāyat hai 'fahīm'
is jahāñ meñ sab adhūre haiñ mukammal kaun hai
rah gai hai kuchh kami to kya shikayat hai 'fahim'
is jahan mein sab adhure hain mukammal kaun hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaam ḳhāmosh hai peḌoñ pe ujālā kam hai
lauT aa.e haiñ sabhī ek parinda kam hai
sham KHamosh hai peDon pe ujala kam hai
lauT aae hain sabhi ek parinda kam hai
kitne tūfānoñ se ham uljhe tujhe ma.alūm kyā
peḌ ke dukh-dard kā phūloñ se andāza na kar
kitne tufanon se hum uljhe tujhe malum kya
peD ke dukh-dard ka phulon se andaza na kar
na baat dil kī sunūñ maiñ na dil sune merī
ye sard jañg hai apne hī ik mushīr ke saath
na baat dil ki sunun main na dil sune meri
ye sard jang hai apne hi ek mushir ke sath
terī yādeñ ho ga.iiñ jaise muqaddas āyateñ
chain aatā hī nahīñ dil ko tilāvat ke baġhair
teri yaaden ho gain jaise muqaddas aayaten
chain aata hi nahin dil ko tilawat ke baghair
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
band kamre meñ tirā dard na bujh jaa.e kahīñ
khiḌkiyāñ khol ki ye aag havā chāhtī hai
band kamre mein tera dard na bujh jae kahin
khiDkiyan khol ki ye aag hawa chahti hai
jā.eñge ek roz samundar kī god meñ
dariyā ke saath ret kī tahrīr aur ham
jaenge ek roz samundar ki god mein
dariya ke sath ret ki tahrir aur hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tumhārī yaad se ye raat kitnī raushan hai
nazar meñ itne haiñ jugnū ki ham ginā.eñ kyā
tumhaari yaad se ye raat kitni raushan hai
nazar mein itne hain jugnu ki hum ginaen kya
milan ke ba.ad aatī hai judā.ī
narak bhī sovarg se kitnā nikaT hai
milan ke baad aati hai judai
narak bhi sowarg se kitna nikaT hai
ham ahl-e-ġham ko haqārat se dekhne vaalo
tumhārī naav inhīñ āñsuoñ se chaltī hai
hum ahl-e-gham ko haqarat se dekhne walo
tumhaari naw inhin aansuon se chalti hai
raste meñ 'fahīm' us kī tabī.at kā bigaḌnā
ghar jaane kā ik aur bahāna to nahīñ hai
raste mein 'fahim' us ki tabiat ka bigaDna
ghar jaane ka ek aur bahana to nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kisī ke dar pe sajda karte karte
'fahīm' aisā na ho sar TuuT jaa.e
kisi ke dar pe sajda karte karte
'fahim' aisa na ho sar TuT jae
marghaT path par dekh ke ham ko jaane kyā kyā socheñ vo
āñkhoñ se kyā punny kamā.e hoñToñ se kyā daan hue
marghaT path par dekh ke hum ko jaane kya kya sochen wo
aankhon se kya punny kamae honTon se kya dan hue