Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Farhat Parveen

Lahore, Pakistan

Sher of Farhat Parveen

do-jahāñ paane aa raaz batā.ūñ tujh ko

kisī pyār-bhare dil meñ Thikāna kar le

do-jahan pane ka aa raaz bataun tujh ko

ja kisi pyar-bhare dil mein Thikana kar le

kyoñ bhed khule lāchārī ehsān bhī leñ dildārī

āñkhoñ ko nahīñ ham karte nam par dil meñ samundar rakhte haiñ

kyon bhed khule lachaari ka ehsan bhi len dildari ka

aankhon ko nahin hum karte nam par dil mein samundar rakhte hain

yuuñ diyā karte haiñ ham talḳh-navā.ī javāb

apne lahje meñ zarā aur bhī ras gholte haiñ

yun diya karte hain hum talKH-nawai ka jawab

apne lahje mein zara aur bhi ras gholte hain

jaisā kal thā aaj bhī vaisā aur vaisā ho

aaj karb uThāne meñ maiñ kal dukh bhī sahtī huuñ

jaisa kal tha aaj bhi waisa aur waisa hi ho ga

aaj ka karb uThane mein main kal ka dukh bhi sahti hun

yuuñ diyā karte haiñ ham talḳh-navā.ī javāb

apne lahje meñ zarā aur bhī ras gholte haiñ

yun diya karte hain hum talKH-nawai ka jawab

apne lahje mein zara aur bhi ras gholte hain

Recitation

Speak Now